धूंढ रहे हैं मेरे लिए लड़का ... ये सुन के वो नींद से जाग गया
ढूंढ रहे हैं मेरे लिए लड़का मेरे घर वाले
अरे कितने लड़के देखे लम्बे गोरे ठिगने काले
एक लड़के ने पूछा क्या कुछ नाचना गाना आता है
मैने कहा आता है क्या तुझे तबला बजाना आता है
भई वाह क्या कहने क्या जवाब मारा है
ये सुन के वो नींद से जाग गया मैदान छोड़ के भाग गया
कुछ मत पूछो तौबा है बस इन लड़कों की मांगों से
उड़ते हैं ये पंख लगा कर चलते नहीं ये टांगों से
एक लड़के ने कहा मुझे ये मेरा घर बार सम्भालेगी
मैने कहा न मेरे बच्चे तेरी अम्मा पालेगी
ये सुन के वो नींद से …
फिर इक लड़का आया जिसका क़द मुझसे भी छोटा था
दरवाज़े के बीच फंस गया तौबा कितना मोटा था
उस मोटे ने पूछा तुझे घोड़े की सवारी आती है
मैने कहा आती है पर तू घोड़ा है कि हाथी है
ये सुन के वो नींद से …
रंगमहल में सोती थी मैं यौवन की रंगरलियों में
दूर से इक दिन इक परदेसी आया मेरी गलियों में
उस ज़ुल्मी ने इतना कहकर मेरी ज़िद को तोड़ दिया
ना कर हाँ कर तेरी मर्ज़ी तेरे लिए जग छोड़ दिया
ये सुन कर मैं नींद से जाग गई मैं साथ पिया के भाग गई
ḍhūṅḍh rahe haiṅ mere lie laṛkā mere ghar vāle
are kitne laṛke dekhe lambe gore ṭhigne kāle
ek laṛke ne pūchhā kyā kuchh nāchnā gānā ātā hai
maine kahā ātā hai kyā tujhe tablā bajānā ātā hai
bhaī vāh kyā kahne kyā javāb mārā hai
ye sun ke vo nīṅd se jāg gayā maidān chhoṛ ke bhāg gayā
kuchh mat pūchho taubā hai bas in laṛkoṅ kī māṅgoṅ se
uṛte haiṅ ye paṅkh lagā kar chalte nahīṅ ye ṭāṅgoṅ se
ek laṛke ne kahā mujhe ye merā ghar bār sambhālegī
maine kahā na mere bachche terī ammā pālegī
ye sun ke vo nīṅd se …
phir ik laṛkā āyā jiskā qad mujhse bhī chhoṭā thā
darvāze ke bīch phaṅs gayā taubā kitnā moṭā thā
us moṭe ne pūchhā tujhe ghoṛe kī savārī ātī hai
maine kahā ātī hai par tū ghoṛā hai ki hāthī hai
ye sun ke vo nīṅd se …
raṅgamahal meṅ sotī thī maiṅ yauvan kī raṅgarliyoṅ meṅ
dūr se ik din ik pardesī āyā merī galiyoṅ meṅ
us zulmī ne itnā kahkar merī zid ko toṛ diyā
nā kar hāṇ kar terī marzī tere lie jag chhoṛ diyā
ye sun kar maiṅ nīṅd se jāg gaī maiṅ sāth piyā ke bhāg gaī