vafā ke nām pe kitne gunāh hote haiṅ
vo un se pūchhe koī jo tabāh hote haiṅ
dāman meṅ dāg lagā baiṭhe
ham pyār meṅ dhokhā khā baiṭhe
hāy re, hāy re
chhoṭī sī bhūl javānī kī
jo tum ko yād na āyegī
us bhūl ke tāne de de kar
duniyā ham ko taṛpāyegī
uṭhte hī nazar jhuk jāyegī
āj aisī ṭhokar khā baiṭhe
ham pyār meṅ …
chāhat ke liye jo rasmoṅ ko
ṭhukrā ke guzarne vāle the
jo sāth hī jīne vāle the
aur sāth hī marne vāle the
tūfāṇ ke havāle kar ke hameṅ
khud dūr kināre jā baiṭhe
ham pyār meṅ …
lo āj merī majbūr vafā
badnām kahānī banne lagī
lo prem niśhānī pāī thī
vo sākh niśhānī banne lagī
duḥakh de ke hameṅ jīvan bhar kā
vo sukh kī sej sajā baiṭhe
ham pyār meṅ …