Dhol bajaa dhol dhol jaaniyaa ... zindgee ke saaz pe naacho

धोल बजा ढोल ढोल जानिया ... ज़िंदगी के साज़ पे नाचो
Work
Year
Language

ढोल बजा ढोल ढोल जानिया
ज़िंदगी के साज़ पे नाचो सभी झूम के
बन जाएं प्यार की कहानियां
ढोल बजा …

ज़िंदगी तेरी तो इक छपी हुई किताब है
जिसमें तेरे लेन देन का सभी हिसाब है
अपने दिल के आईने में झांक और देख ले
खुद ही इक सवाल है तो खुद ही इक जवाब है
देख ज़रा देख ज़रा दिल की मेहरबानियां
ज़िंदगी के साज पे …

साज़ वो कि जिससे सदा आए सदा प्यार की
फूल वो कि जिसपे खुद फ़िदा हो रुत बहार की
जिसका मोल है उसे तो हर कोई ख़रीद ले
जिसका कोई मोल नहीं वो खुशी है प्यार की
प्यार से प्यार से सजा लो तुम जवानियां
ज़िंदगी के साज पे …

पांव नाचने लगे हैं झूमने लगी नज़र
दिल मचल रहा है आने वाने कल की सोचकर
देर से सही चलो वो राह पर तो आ गए
आज हमख्याल बने कल बनेंगे हमसफ़र
प्यार की प्यार की यही हैं क्‌या निशानियां
ज़िंदगी के साज पे …

ḍhol bajā ḍhol ḍhol jāniyā
ziṅdgī ke sāz pe nācho sabhī jhūm ke
ban jāeṅ pyār kī kahāniyāṅ
ḍhol bajā …

ziṅdgī terī to ik chhapī huī kitāb hai
jismeṅ tere len den kā sabhī hisāb hai
apne dil ke āīne meṅ jhāṅk aur dekh le
khud hī ik savāl hai to khud hī ik javāb hai
dekh zarā dekh zarā dil kī meharbāniyāṅ
ziṅdgī ke sāj pe …

sāz vo ki jisse sadā āe sadā pyār kī
phūl vo ki jispe khud fidā ho rut bahār kī
jiskā mol hai use to har koī kharīd le
jiskā koī mol nahīṅ vo khuśhī hai pyār kī
pyār se pyār se sajā lo tum javāniyāṅ
ziṅdgī ke sāj pe …

pāṅv nāchne lage haiṅ jhūmne lagī nazar
dil machal rahā hai āne vāne kal kī sochkar
der se sahī chalo vo rāh par to ā gae
āj hamakhyāl bane kal baneṅge hamasafar
pyār kī pyār kī yahī haiṅ k‌yā niśhāniyāṅ
ziṅdgī ke sāj pe …