Dhartee pe jo rab hotaa hai vo hai pitaa

धरती पे जो रब होता है वो है पिता
Work
Year
Language

इक रब अम्बर पे होता है
इक रब धरती पे होता है
अम्बर तक पहुँचा कौन
धरती पे जो रब होता है
वो है पिता वो है पिता
इक रब अम्बर पे …

फूल सा जिसका मन होता है और सीना फ़ौलाद का
अपना दुःख तो वो ना जाने जाने हर दुःख औलाद का
ग़म सहे वो रह्कर मौन हमको नहीं पता
धरती पे जो रब …

सबसे पहला धरम है जिसका अपना घर संसार
सबसे पहला करम है जिसका अपनों का उद्धार
उसके बिना हम कौन हमको नहीं पता
धरती पे जो रब …

जीने का पैगाम दिया है पिता ने हमको नाम दिया है
हमसे खता हुई तो भी अपने सर पे इल्ज़ाम लिया है
उनसे बड़ा है कौन हमको नहीं पता
धरती पे जो रब …

ik rab ambar pe hotā hai
ik rab dhartī pe hotā hai
ambar tak pahuṇchā kaun
dhartī pe jo rab hotā hai
vo hai pitā vo hai pitā
ik rab ambar pe …

phūl sā jiskā man hotā hai aur sīnā faulād kā
apnā duḥakh to vo nā jāne jāne har duḥakh aulād kā
ġham sahe vo rahkar maun hamko nahīṅ patā
dhartī pe jo rab …

sabse pahlā dharam hai jiskā apnā ghar saṅsār
sabse pahlā karam hai jiskā apnoṅ kā uddhār
uske binā ham kaun hamko nahīṅ patā
dhartī pe jo rab …

jīne kā paigām diyā hai pitā ne hamko nām diyā hai
hamse khatā huī to bhī apne sar pe ilzām liyā hai
unse baṛā hai kaun hamko nahīṅ patā
dhartī pe jo rab …