Dharakte dil kee tamannaa ho meraa pyaar ho tum

धड़कते दिल की तमन्ना हो मेरा प्यार हो तुम्
Work
Year
Language

धड़कते दिल की तमन्ना हो मेरा प्यार हो तुम
(मुझे क़रार नहीं) - 2
(जब से बेक़रार हो तुम) - 2
धड़कते दिल की तमन्ना हो मेरा प्यार हो तुम

(खिलाओ फूल किसी के किसी चमन मेन रहो) - 2
जो दिल की राह से (गुज़री है वो बहार हो तुम) - 2

(ज़ह-ए-नसीब अता की जो दर्द की सौग़ात) - 2
वो ग़म हसीन है जिस (ग़म के ज़िम्मेदार हो तुम) -2
धड़कते दिल की तमन्ना हो मेरा प्यार हो तुम

चड़ाऊँ फूल या आँसू तुम्हारे क़दमों में
मेरी वफ़ाओं के (उल्फ़त की यादगार हो तुम) - 2
धड़कते दिल की तमन्ना हो मेरा प्यार हो तुम्

dhaṛakte dil kī tamannā ho merā pyār ho tum
(mujhe qarār nahīṅ) - 2
(jab se beqrār ho tum) - 2
dhaṛakte dil kī tamannā ho merā pyār ho tum

(khilāo phūl kisī ke kisī chaman men raho) - 2
jo dil kī rāh se (guzrī hai vo bahār ho tum) - 2

(zah-e-nasīb atā kī jo dard kī sauġhāt) - 2
vo ġham hasīn hai jis (ġham ke zimmedār ho tum) -2
dhaṛakte dil kī tamannā ho merā pyār ho tum

chaṛāūṇ phūl yā āṇsū tumhāre qadmoṅ meṅ
merī vafāoṅ ke (ulfat kī yādgār ho tum) - 2
dhaṛakte dil kī tamannā ho merā pyār ho tum