Dhak dhak meraa dil dharke ... main gash khaa ke

धक धक मेरा दिल धड़के ... मैं गश खा के
Work
Year
Language

धक धक मेरा दिल धड़के
तेरे कदमों में आ गया भूचाल कुड़िये
मैं गश खा के हो गया बेहाल कुड़िये
गोरी गोरे गोरे तेरे अंग से लिपट गई
देखो जी देखो जी तेरे अंग से लिपट गई
सतरंगी चुनरी कमाल कुड़िये
मैं गश खा के …

लड़की है या मिश्री की डली
सावन की रुत फूलों की कली
अंखियों में है तेरे गजब की लाली
पा कर के हो गया निहाल कुड़िये
मैं गश खा के …

तौबा तौबा तेरे हुस्न की जादूगरी तौबा
रब ने बनाया तुझे फ़ुरसत में
तेरा एक एक अंग है कमाल कुड़िये
मैं गश खा के …

तेरा हाथ पकड़ कर मैं दौड़ी
तुझे पी जाऊं चोरी चोरी
तेरी ज़ुल्फ़ों में है मस्त घटा
ओए गोरे गोरे हाथों रुमाल कुड़िये
मैं गश खा के …

dhak dhak merā dil dhaṛke
tere kadmoṅ meṅ ā gayā bhūchāl kuṛiye
maiṅ gaśh khā ke ho gayā behāl kuṛiye
gorī gore gore tere aṅg se lipaṭ gaī
dekho jī dekho jī tere aṅg se lipaṭ gaī
sataraṅgī chunrī kamāl kuṛiye
maiṅ gaśh khā ke …

laṛkī hai yā miśhrī kī ḍalī
sāvan kī rut phūloṅ kī kalī
aṅkhiyoṅ meṅ hai tere gajab kī lālī
pā kar ke ho gayā nihāl kuṛiye
maiṅ gaśh khā ke …

taubā taubā tere husn kī jādūgrī taubā
rab ne banāyā tujhe furasat meṅ
terā ek ek aṅg hai kamāl kuṛiye
maiṅ gaśh khā ke …

terā hāth pakaṛ kar maiṅ dauṛī
tujhe pī jāūṅ chorī chorī
terī zulfoṅ meṅ hai mast ghaṭā
oe gore gore hāthoṅ rumāl kuṛiye
maiṅ gaśh khā ke …