Dhaaginaa tinak dhin ... jab tak ye sansaar nachaae

धागिना तिनक धिन ... जब तक ये संसार नचाए
Work
Year
Language

मु: ( धागिना तिनक धिन ) -2 ता थैया
( धागिना तिनक धिन ) -3 वाह भैया
जब तक ये संसार नचाए जब तक ये संसार
जब तक ये संसार नचाए झूम-झूम के नाचे जा
धागिना तिनक धिन …

अरे वाह मेरे बाँके नाचो इसी लटक से
लचकाओ रे कमरिया हो ज़रा और मटक के
जग तुझपे हँसे तो चल सर को झटक के
ज़रा और मज़े से प्यारे ठुमक-ठुमक के
सर पर टोपी लाल सजाए सर पर टोपी लाल
सर पर टोपी लाल सजाए मूँछ तान के नाचे जा
धागिना तिनक धिन …
ऊ: धागिना तिनक धिन …

मु: पग देख रुके ना चाहे बहे पसीना
हो तेरी राह तके है कहीं कोई हसीना
सपनों में बसर हो चाहे कई महीना
शिक़वा मत करियो प्यारे यही है जीना
जब तक पग बेताल न जाए यूँ ही उमर भर नाचे जा
दो: धागिना तिनक धिन …

mu: ( dhāginā tinak dhin ) -2 tā thaiyā
( dhāginā tinak dhin ) -3 vāh bhaiyā
jab tak ye saṅsār nachāe jab tak ye saṅsār
jab tak ye saṅsār nachāe jhūm-jhūm ke nāche jā
dhāginā tinak dhin …

are vāh mere bāṇke nācho isī laṭak se
lachkāo re kamriyā ho zarā aur maṭak ke
jag tujhpe hṇse to chal sar ko jhaṭak ke
zarā aur maze se pyāre ṭhumak-ṭhumak ke
sar par ṭopī lāl sajāe sar par ṭopī lāl
sar par ṭopī lāl sajāe mūṇchh tān ke nāche jā
dhāginā tinak dhin …
ū: dhāginā tinak dhin …

mu: pag dekh ruke nā chāhe bahe pasīnā
ho terī rāh take hai kahīṅ koī hasīnā
sapnoṅ meṅ basar ho chāhe kaī mahīnā
śhiqvā mat kariyo pyāre yahī hai jīnā
jab tak pag betāl na jāe yūṇ hī umar bhar nāche jā
do: dhāginā tinak dhin …