tū pī aur jī, tū jī he he, aur pī
sardī meṅ jab piyoge yāroṅ
sardī meṅ jab piyoge yāroṅ garam koṭ ban jāyegā,
ye āī garmī ko madirā jal ṭhanḍak tumko pahuṇchāegā
are raṅg bharegā sapnoṅ meṅ, āṇkhoṅ meṅ jab ye bas jāyegā
man ko tere mīt terā bas yahīṅ kahīṅ pe mil jāyegā
kāhe ko tū phire akelā
are kāhe ko tū phire akelā, dekh zarā maujoṅ kā melā
ā tū bhī ā, lahrā…
are āo nā akele, kabhī raho nā akele kabhī,
kabhī kah gaye kabīr
ke ūpar nīche, āge pīchhe, chhāī kaisī mastī
zarā pī aur jī…
ye gujrātī vo baṅgālī
ye gujrātī vo baṅgālī, ye dilvālā vo dilvālī
maiṅ desī hūṇ tū pardesī, phir bhī dhaṛkan hai ek jaisī
are, ye madrāsī, vo paṅjābī, har tāle kī hai ek chābhī
pyār ke māre, sab bechāre, gore, kāle, ye matvāle
are varkar ho yā mālik mil kā
varkar ho yā mālik mil kā, rāt kā pyāsā, bhūkhā din kā
ā tū ā nā ghabrā
udhār nā chaṛhāo kabhī, paise sāth lāo abhī
abhī ye dukān hai khulī
ke pahlī pahlī bikrī merī, bechūṇ maiṅ to sastī
zarā pī aur jī…
gharvāloṅ kī yād satāye
gharvāloṅ kī yād satāye, yā āṇkhoṅ meṅ āṇsū āye
hamko dekho ghūṇṭ hṇsī ke pī kar ham kaise muskāye
ismeṅ kitne rāz chhupe haiṅ, pūchho mere dil se tum
baiṭhe baiṭhe mahafil se hotā hai kaise koī ġham
are duniyādārī hil jāyegī
duniyādārī hil jāyegī, faṭī jeb bhī sil jāyegī
ā tū ban jā rājā
are lafaṛā nā karo, kabhī jhagaṛā nā karo kabhī
bhaṅdaṛā to pāo zarā jāṭ jī
are balle balle, bach ke kahīṅ, ḍūbe nā ye kaśhtī
zarā pī aur jī, kahtā ye hai ṭonī
he he, come on madam, ha ha
come on mister, ye pakaṛo brother
oe āno nā sisṭar, bolo cheers