Des noon challo ... maatrbhoomi ne hamen bulaayaa

देस नूँ चल्लो ... मात्रभूमि ने हमें बुलाया
Year
Language

देस नूँ चल्लो
देस नूँ चल्लो
देस माँगता है क़ुर्बानियाँ
कानूं परदेसां विच रोलिये जवानियाँ
ओय देस नूं चल्लो …

मातृभूमि ने हमें बुलाया है अब जाना होगा
ज़ंजीरों में क़ैद है वो उसे छुड़ाना होगा
अब ना सहेंगे हम गैरों की गुलामियाँ
देस नूं चल्लो …

अपने हाथों से हम लिखेंगे अपनी तक़दीरें
हमें बदलनी होंगी इन हाथों की सभी लकीरें
ओ चक्‌क ले बंदूकां पैजा टूटके ओ हाणियाँ ओय
देस नूं चल्लो …

जहाँ पे दी गुरु गोविन्द सिंघ नें बेटों की क़ुर्बानी
मिट गई देश की खातिर जहाँ पे झाँसी वाली रानी
चलो वहाँ लिख दें आज़ादी की कहानियाँ ओय
देस नूं चल्लो …

des nūṇ challo
des nūṇ challo
des māṇgtā hai qurbāniyāṇ
kānūṅ pardesāṅ vich roliye javāniyāṇ
oy des nūṅ challo …

mātṛbhūmi ne hameṅ bulāyā hai ab jānā hogā
zaṅjīroṅ meṅ qaid hai vo use chhuṛānā hogā
ab nā saheṅge ham gairoṅ kī gulāmiyāṇ
des nūṅ challo …

apne hāthoṅ se ham likheṅge apnī taqdīreṅ
hameṅ badalnī hoṅgī in hāthoṅ kī sabhī lakīreṅ
o chak‌ka le baṅdūkāṅ paijā ṭūṭke o hāṇiyāṇ oy
des nūṅ challo …

jahāṇ pe dī guru govind siṅgh neṅ beṭoṅ kī qurbānī
miṭ gaī deśh kī khātir jahāṇ pe jhāṇsī vālī rānī
chalo vahāṇ likh deṅ āzādī kī kahāniyāṇ oy
des nūṅ challo …