Dekhte hee dekhte dil kho gayaa

देखते ही देखते दिल खो गया
Year
Language

देखते ही देखते दिल खो गया
दिल खो गया तो प्यार तुमसे हो गया
इस प्यार को कब तक मगर छुपाएंगे हम
देखते ही देखते …

जानेगी तू जिस दिन मुझे मुझसे रूठ जाएगी तू
तोड़ेगी इस दिल को मेरे खुद भी टूट जाएगी तू
मेरे दिल पे ना काबू चला तेरी बातों का जादू चला
के दिल अपना तो गया
देखते ही देखते …

धड़कन मेरी बदली सी है आँखों में फिर सपने खिले
आने लगा तुमपे ये दिल जुड़ने लगे ये सिलसिले
कभी लौटकर आता नहीं हाँ प्यार की इस राह में
ये दिल जो गया तो गया
देखते ही देखते …

dekhte hī dekhte dil kho gayā
dil kho gayā to pyār tumse ho gayā
is pyār ko kab tak magar chhupāeṅge ham
dekhte hī dekhte …

jānegī tū jis din mujhe mujhse rūṭh jāegī tū
toṛegī is dil ko mere khud bhī ṭūṭ jāegī tū
mere dil pe nā kābū chalā terī bātoṅ kā jādū chalā
ke dil apnā to gayā
dekhte hī dekhte …

dhaṛkan merī badlī sī hai āṇkhoṅ meṅ phir sapne khile
āne lagā tumpe ye dil juṛne lage ye silsile
kabhī lauṭkar ātā nahīṅ hāṇ pyār kī is rāh meṅ
ye dil jo gayā to gayā
dekhte hī dekhte …