देखते-देखते जल गया आशियाँ
देखते-देखते जल गया आशियाँ
क्या सुनाऊँ तुझे प्यार की दास्ताँ
तुझसे कैसे कहूँ दर्द का माजरा
मैने सोचा था क्या और क्या हो गया
पास आए मगर हो गईं दूरियाँ
क्या सुनाऊँ तुझे …
सबके होते हुए भी अकेली हूँ मैं
आप अपने लिए इक पहेली हूँ मैं
हाय मजबूरियाँ हाय लाचारियाँ
क्या सुनाऊँ तुझे …
फुँक रहा है जिगर जी रही हूँ मगर
हाय मैं लुट गई तू रहा बेख़बर
मुझपे रोते रहे ये ज़मीं आसमाँ
देखते-देखते जल गया …
रह गई राख सी उठ रहा है धुआँ
क्या सुनाऊँ तुझे …
dekhte-dekhte jal gayā āśhiyāṇ
kyā sunāūṇ tujhe pyār kī dāstāṇ
tujhse kaise kahūṇ dard kā mājrā
maine sochā thā kyā aur kyā ho gayā
pās āe magar ho gaīṅ dūriyāṇ
kyā sunāūṇ tujhe …
sabke hote hue bhī akelī hūṇ maiṅ
āp apne lie ik pahelī hūṇ maiṅ
hāy majbūriyāṇ hāy lāchāriyāṇ
kyā sunāūṇ tujhe …
phuṇk rahā hai jigar jī rahī hūṇ magar
hāy maiṅ luṭ gaī tū rahā bekhbar
mujhpe rote rahe ye zamīṅ āsmāṇ
dekhte-dekhte jal gayā …
rah gaī rākh sī uṭh rahā hai dhuāṇ
kyā sunāūṇ tujhe …