Dekho jee bahar aayi, baaghon men khilee kaliyaan

देखो जी बहर आयि, बाग़ों में खिली कलियां
Work
Year
Language

(देखोजी बहार आई, बाग़ों में खिली कलियां ) -2
आना है तो आजाओ, सूनी हैं मेरी गलियां
देखो जी बहार आई, बाग़ों में खिली कलियां

दुनिया से जो डरते हो
ख्वाबों में चले आओ - 2
दो बोल मुहब्बत के
तनहाई में कह जाओ - 2
आजाओ मना लेंगे, सपनों में रंग-रलियां
आना है तो आजाओ, सूनी है मेरी गलियां
देखो जी बहार आई, बाग़ों में खिली कलियां

हम दिल से तुम्हारे हैं
ये कह भी नहीं सकते - 2
और तुम से जुदा हो कर
हम रह भी नहीं सकते - 2
तुम बिन आशाओं की, कैसे खिली कलियां
आन हैं तो आजाओ, सूनी हैं मेरी गलियां
देखो जी बहार आई, बाग़ों में खिली कलियां

(dekhojī bahār āī, bāġhoṅ meṅ khilī kaliyāṅ ) -2
ānā hai to ājāo, sūnī haiṅ merī galiyāṅ
dekho jī bahār āī, bāġhoṅ meṅ khilī kaliyāṅ

duniyā se jo ḍarte ho
khvāboṅ meṅ chale āo - 2
do bol muhabbat ke
tanhāī meṅ kah jāo - 2
ājāo manā leṅge, sapnoṅ meṅ raṅg-raliyāṅ
ānā hai to ājāo, sūnī hai merī galiyāṅ
dekho jī bahār āī, bāġhoṅ meṅ khilī kaliyāṅ

ham dil se tumhāre haiṅ
ye kah bhī nahīṅ sakte - 2
aur tum se judā ho kar
ham rah bhī nahīṅ sakte - 2
tum bin āśhāoṅ kī, kaise khilī kaliyāṅ
ān haiṅ to ājāo, sūnī haiṅ merī galiyāṅ
dekho jī bahār āī, bāġhoṅ meṅ khilī kaliyāṅ