Dekho jaataa hai koee ... apnaa hee ghar lutaane

देखो जाता है कोई ... अपना ही घर लुटाने
Year
Language

देखो जाता है कोई ग़म का सहारा लेकर
अपने कंधों पे मोहब्बत का जनाज़ा लेकर

अपना ही घर लुटाने दीवाना जा रहा है
खुद शमा को बुझाने परवाना जा रहा है
अपना ही घर लुटाने …

ये नज़ारा देखो ओ प्यार करने वालों
एक आँसुओं में डूबा अफ़साना जा रहा है
अपना ही घर लुटाने …

ख़ामोश है मोहब्बत फ़रियाद रो रही है
अपना ही आज बनकर बेगाना जा रहा है
अपना ही घर लुटाने …

dekho jātā hai koī ġham kā sahārā lekar
apne kaṅdhoṅ pe mohabbat kā janāzā lekar

apnā hī ghar luṭāne dīvānā jā rahā hai
khud śhamā ko bujhāne parvānā jā rahā hai
apnā hī ghar luṭāne …

ye nazārā dekho o pyār karne vāloṅ
ek āṇsuoṅ meṅ ḍūbā afsānā jā rahā hai
apnā hī ghar luṭāne …

khāmośh hai mohabbat fariyād ro rahī hai
apnā hī āj bankar begānā jā rahā hai
apnā hī ghar luṭāne …