Dekhiye saahibon vo koee aur thee

देखिये साहिबों वो कोई और थी
Year
Language

देखिये साहिबों वो कोई और थी
और ये नाज़नीं है मेरी
मैं इनपे मरता हूँ
समझा था मैं ये हैं खड़ी
लेकिन वहाँ कोई और थी
इनके लिये ऐ मोहतरम
छेड़ा किसी और को था ख़ुदा की क़सम
देखिये साहिबों …

लोगों कहने दो इसको
ये है कोई दीवाना
मैं न जानूँ किसी को
इतना मेरा फ़साना
ओ हो
एक दम गलत फ़साना है
इनसे तो पुराना है
अपना सिलसिला
देखो तो प्यार इनको भी है
मेरा ख़ुमार इनको भी है
इनके लिये ऐ मोहतरम
छेड़ा किसी और को था ख़ुदा की क़सम
देखिये साहिबों …

मैं ने कब इसको चाहा
कह दो इतना न फेंके
आशिक़ बनने से पहले
अपनी सूरत तो देखे
ओ हो
सूरत भली बुरी क्‌या है
सौदा तो नज़र का है
सौदा प्यार का
इनको कहाँ ग़म दोस्तों
रुसवा हुए हम दोस्तों
इनके लिये ऐ मोहतरम
छेड़ा किसी और को था ख़ुदा की क़सम
देखिये साहिबों …

हाय हाय देखो तो इसको
बोले ही जा रहा है
उलझी बातों में ज़ालिम
सबको उलझा रहा है
ओ हो
सच बन गया अगर उलझन
फिर कहिये जनाब-ए-मन
मेरी क्‌या ख़ता
मुझ पर यकीं अब कम सही
मैं सादा दिल मुजरिम सही
इनके लिये ऐ मोहतरम छेड़ा
किसी और को था ख़ुदा की कसम
देखिये साहिबों …

dekhiye sāhiboṅ vo koī aur thī
aur ye nāznīṅ hai merī
maiṅ inpe martā hūṇ
samjhā thā maiṅ ye haiṅ khaṛī
lekin vahāṇ koī aur thī
inke liye ai mohtaram
chheṛā kisī aur ko thā khudā kī qasam
dekhiye sāhiboṅ …

logoṅ kahne do isko
ye hai koī dīvānā
maiṅ na jānūṇ kisī ko
itnā merā fasānā
o ho
ek dam galat fasānā hai
inse to purānā hai
apnā silsilā
dekho to pyār inko bhī hai
merā khumār inko bhī hai
inke liye ai mohtaram
chheṛā kisī aur ko thā khudā kī qasam
dekhiye sāhiboṅ …

maiṅ ne kab isko chāhā
kah do itnā na pheṅke
āśhiq banne se pahle
apnī sūrat to dekhe
o ho
sūrat bhalī burī k‌yā hai
saudā to nazar kā hai
saudā pyār kā
inko kahāṇ ġham dostoṅ
rusvā hue ham dostoṅ
inke liye ai mohtaram
chheṛā kisī aur ko thā khudā kī qasam
dekhiye sāhiboṅ …

hāy hāy dekho to isko
bole hī jā rahā hai
uljhī bātoṅ meṅ zālim
sabko uljhā rahā hai
o ho
sach ban gayā agar uljhan
phir kahiye janāb-e-man
merī k‌yā khatā
mujh par yakīṅ ab kam sahī
maiṅ sādā dil mujrim sahī
inke liye ai mohtaram chheṛā
kisī aur ko thā khudā kī kasam
dekhiye sāhiboṅ …