Dekhaa maine dekhaa sapnon kee ek raanee ko

देखा मैने देखा सपनों की एक रानी को
Year
Language

देखा मैने देखा -2
सपनों की एक रानी को रूप की इक मस्तानी को
मस्ती भरी जवानी को हाय रे हाय मैने देखा -3

तन से आँचल खिसका छम से वो जब निकली -2
लूट के ले गई महफ़िल बन के वो निकली -2
सुन्दर सी अलबेली सी -2
लगती नई नवेली सी प्यार की एक पहेली सी
जिसको मैने देखा
देखा मैने देखा …

जी मेरा ये चाहे माँग मैं उसकी भर दूँ -2
अपना सारा जीवन उसको अर्पण कर दूँ -2
दुनिया को दिखलाऊँगा
अपना उसे बनाऊँगा किसी भी सूरत पाऊँगा
जिसको मैने देखा
देखा मैने देखा …

dekhā maine dekhā -2
sapnoṅ kī ek rānī ko rūp kī ik mastānī ko
mastī bharī javānī ko hāy re hāy maine dekhā -3

tan se āṇchal khiskā chham se vo jab niklī -2
lūṭ ke le gaī mahafil ban ke vo niklī -2
sundar sī albelī sī -2
lagtī naī navelī sī pyār kī ek pahelī sī
jisko maine dekhā
dekhā maine dekhā …

jī merā ye chāhe māṇg maiṅ uskī bhar dūṇ -2
apnā sārā jīvan usko arpaṇ kar dūṇ -2
duniyā ko dikhlāūṇgā
apnā use banāūṇgā kisī bhī sūrat pāūṇgā
jisko maine dekhā
dekhā maine dekhā …