देखा जो तुमको ये दिल को ... मोहब्बत हो ना जाए
हे ल ल ल ला
देखा जो तुमको ये दिल को क्या हुआ है
मेरी धड़कनों पे छाया क्या नशा है हां
देखा जो तुमको …
मोहब्बत हो ना जाए दीवाना खो ना जाए
संभालूं कैसे इसको मुझे तू बता हां
मोहब्बत हो …
भीगी भीगी अलकों से चोरी चोरी पलकों से
क्यूं मेरा सपना चुराए
झुकी झुकी अँखियों से धीरे धीरे बतियों से
क्यूं मुझे अपना बनाए
मेरी नज़रों पे छाए खुश्बू के जैसे साए
मेरा तन मन महकाए
साँसों में ये पल पल जाने कैसी हलचल
कुछ भी समझ में न आए
शरारत हो ना जाए मुहब्बत हो ना जाए
संभालूं कैसे इसको …
मेरी है ये मुश्किल अब तो ये मेरा दिल
बस में हुज़ूर नहीं है
इतना बता दे मुझे कैसे समझाऊं तुझे
मेरा ये कुसूर नहीं है
चाहें हम चाहें भी तो पहरे लगाएं भी तो
कैसे दिन रात को रोकें
आग बिना ये जले ज़ोर न कोई चले
कैसे जज़्बात को रोकें
यूं चाहत हो ना जाए मुहब्बत हो ना जाए
संभालूं कैसे इसको …
he la la la lā
dekhā jo tumko ye dil ko kyā huā hai
merī dhaṛaknoṅ pe chhāyā kyā naśhā hai hāṅ
dekhā jo tumko …
mohabbat ho nā jāe dīvānā kho nā jāe
saṅbhālūṅ kaise isko mujhe tū batā hāṅ
mohabbat ho …
bhīgī bhīgī alkoṅ se chorī chorī palkoṅ se
kyūṅ merā sapnā churāe
jhukī jhukī aṇkhiyoṅ se dhīre dhīre batiyoṅ se
kyūṅ mujhe apnā banāe
merī nazroṅ pe chhāe khuśhbū ke jaise sāe
merā tan man mahkāe
sāṇsoṅ meṅ ye pal pal jāne kaisī halchal
kuchh bhī samajh meṅ na āe
śharārat ho nā jāe muhabbat ho nā jāe
saṅbhālūṅ kaise isko …
merī hai ye muśhkil ab to ye merā dil
bas meṅ huzūr nahīṅ hai
itnā batā de mujhe kaise samjhāūṅ tujhe
merā ye kusūr nahīṅ hai
chāheṅ ham chāheṅ bhī to pahre lagāeṅ bhī to
kaise din rāt ko rokeṅ
āg binā ye jale zor na koī chale
kaise jazbāt ko rokeṅ
yūṅ chāhat ho nā jāe muhabbat ho nā jāe
saṅbhālūṅ kaise isko …