Deevaanaa le ke aayaa hai dil kaa taraanaa

दीवाना ले के आया है दिल का तराना
Year
Language

दीवाना ले के आया है दिल का तराना
देखो कही यारों ठुकरा न देना, मेरा नज़राना

आज का दिन है कितना सुहाना, झूम रहा प्यार मेरा
पूरे हो दिल की सारी मुरादें, खुश रहे यार मेरा
चाँद सा जीवन साथी मुबारक, जीवन में आना

अपने भी हैं कुछ ख्वाब अधूरे, कौन अब गिने कितने
सच तो ये है मेरे दोस्त के सपने भी है मेरे अपने
उस की खुशी अब मेरी खुशी है, ऐ दिल-ए-दीवाना

dīvānā le ke āyā hai dil kā tarānā
dekho kahī yāroṅ ṭhukrā na denā, merā nazrānā

āj kā din hai kitnā suhānā, jhūm rahā pyār merā
pūre ho dil kī sārī murādeṅ, khuśh rahe yār merā
chāṇd sā jīvan sāthī mubārak, jīvan meṅ ānā

apne bhī haiṅ kuchh khvāb adhūre, kaun ab gine kitne
sach to ye hai mere dost ke sapne bhī hai mere apne
us kī khuśhī ab merī khuśhī hai, ai dil-e-dīvānā