Deevaanaa kah ke aaj mujhe phir pukaarie

दीवाना कह के आज मुझे फिर पुकारिए
Work
Year
Language

दीवाना कह के आज मुझे फिर पुकारिए
हाज़िर हूँ कोई तीर-ए-नज़र दिल पे मारिए
दीवाना कह के …

लग जाए आपको ना किसी की नज़र कहीं -2
घर जा के अपने हुस्न का सदका उतारिए
हाज़िर हूँ कोई …

ज़ुल्फ़ें सँवारने से बनेगी न कोई बात -2
उठिए किसी गरीब की क़िस्मत सँवारिए
हाज़िर हूँ कोई …

इक बार कर ही दीजिए इस दिल का फ़ैसला -2
रह-रह के यूँ निगाह का ख़ंज़र ना मारिए
हाज़िर हूँ कोई …

dīvānā kah ke āj mujhe phir pukārie
hāzir hūṇ koī tīr-e-nazar dil pe mārie
dīvānā kah ke …

lag jāe āpko nā kisī kī nazar kahīṅ -2
ghar jā ke apne husn kā sadkā utārie
hāzir hūṇ koī …

zulfeṅ sṇvārne se banegī na koī bāt -2
uṭhie kisī garīb kī qismat sṇvārie
hāzir hūṇ koī …

ik bār kar hī dījie is dil kā faislā -2
rah-rah ke yūṇ nigāh kā khaṅzar nā mārie
hāzir hūṇ koī …