Deevaanaa huaa main deevaanaa meree jaan ... meraa bas meraa hai ajay

दीवाना हुआ मैं दीवाना मेरी जां ... मेरा बस मेरा है अजय्
Work
Year
Language

दीवाना हुआ मैं दीवाना मेरी जां तेरे इश्क़ में
है ठोकर जहां को लगाना मेरी जां तेरे इश्क़ में
मैं पागल हुई दीवानी हुई तेरी दिलरुबा तेरी रानी हुई
मेरा बस मेरा है अजय
दीवाना हुआ मैं …

तूफ़ान दीवानगी का रोके कभी न रुके
सच्ची मुहब्बत के आगे सारा ज़माना झुके
अब ये मेरी ज़िंदगानी है तेरी चाहत के नाम
चाहूंगी तुझको हमेशा चाहे सुबह हो या शाम
है कदमों में दिल को झुकाना मेरी जां तेरे इश्क़ में
मैं पागल हुई …

दुनिया की सारी हदों से आगे गुज़र जाना है
जीना है बाहों में तेरी बाहों में तेरी मरना है
कैसे तुझे मैं बताऊं कैसा है दीवानापन
तेरी वफ़ाओं का जादू छाने लगा जान-ए-मन
लबों को लबों तक है लाना मेरी जां तेरे इश्क़ में
मुझको है सब कुछ लुटाना मेरी जां तेरे इश्क़ में
तू पागल हुई दीवानी हुई
दीवानी हुई मैं दीवानी

dīvānā huā maiṅ dīvānā merī jāṅ tere iśhq meṅ
hai ṭhokar jahāṅ ko lagānā merī jāṅ tere iśhq meṅ
maiṅ pāgal huī dīvānī huī terī dilrubā terī rānī huī
merā bas merā hai ajay
dīvānā huā maiṅ …

tūfān dīvāngī kā roke kabhī na ruke
sachchī muhabbat ke āge sārā zamānā jhuke
ab ye merī ziṅdgānī hai terī chāhat ke nām
chāhūṅgī tujhko hameśhā chāhe subah ho yā śhām
hai kadmoṅ meṅ dil ko jhukānā merī jāṅ tere iśhq meṅ
maiṅ pāgal huī …

duniyā kī sārī hadoṅ se āge guzar jānā hai
jīnā hai bāhoṅ meṅ terī bāhoṅ meṅ terī marnā hai
kaise tujhe maiṅ batāūṅ kaisā hai dīvānāpan
terī vafāoṅ kā jādū chhāne lagā jān-e-man
laboṅ ko laboṅ tak hai lānā merī jāṅ tere iśhq meṅ
mujhko hai sab kuchh luṭānā merī jāṅ tere iśhq meṅ
tū pāgal huī dīvānī huī
dīvānī huī maiṅ dīvānī