Deevaanaa hai koee phirtaa hai raahon men ... naa baabaa

दीवाना है कोई फिरता है राहों में ... ना बाबा
Work
Year
Language

दीवाना है कोई फिरता है राहों में
कहता है मुझसे वो तू है निगाहों में
तू मेरी धड़कन में तू मेरी आहों में
इक दिन तो आएगी तू मेरी बाहों में
वो जो दीवाना है उस पे करम कर दे
इतनी जो दूरी है थोड़ी सी कम कर दे
सुन ले दीवाने की दास्तां
ना बाबा ना बाबा ना बाबा ना बाबा
हां बाबा हां बाबा हां बाबा हां बाबा
ना बाबा ना बाबा …

मुझ पे वो मरता है
मेरी अदाओं की तारीफ़ करता है खा के कसम
कहता है तू ही तो मेरी तमन्ना है
है तू ही महबूबा तू ही सनम
दिल तुझपे हारा है भोला है प्यारा है
कैसा बेचारा है
ऐसा आशिक़ मिलेगा कहां
ना बाबा ना बाबा …

मुझसे वो कहता है कहता ही रहता है
मैं प्यार में ये भी कर जाऊंगा
तूने ना देखा तो तूने ना चाहा तो
मैं जान दे दूंगा मर जाऊंगा
उसको बचा ले तू उसको मना ले तू
उसको बुला ले तू
होगी क्‌या उसपे तू मेहरबां
ना बाबा ना बाबा …

dīvānā hai koī phirtā hai rāhoṅ meṅ
kahtā hai mujhse vo tū hai nigāhoṅ meṅ
tū merī dhaṛkan meṅ tū merī āhoṅ meṅ
ik din to āegī tū merī bāhoṅ meṅ
vo jo dīvānā hai us pe karam kar de
itnī jo dūrī hai thoṛī sī kam kar de
sun le dīvāne kī dāstāṅ
nā bābā nā bābā nā bābā nā bābā
hāṅ bābā hāṅ bābā hāṅ bābā hāṅ bābā
nā bābā nā bābā …

mujh pe vo martā hai
merī adāoṅ kī tārīf kartā hai khā ke kasam
kahtā hai tū hī to merī tamannā hai
hai tū hī mahbūbā tū hī sanam
dil tujhpe hārā hai bholā hai pyārā hai
kaisā bechārā hai
aisā āśhiq milegā kahāṅ
nā bābā nā bābā …

mujhse vo kahtā hai kahtā hī rahtā hai
maiṅ pyār meṅ ye bhī kar jāūṅgā
tūne nā dekhā to tūne nā chāhā to
maiṅ jān de dūṅgā mar jāūṅgā
usko bachā le tū usko manā le tū
usko bulā le tū
hogī k‌yā uspe tū meharbāṅ
nā bābā nā bābā …