दीवाना दिल है मेरा ... मैं तेरा दीवाना
दीवाना दिल है मेरा दीवाना दिल है तेरा
दीवानेपन में छुपा दीवानगी का मज़ा
दिल मेरा तुझको ही जाने दिल तेरा मुझको ही जाने
जो दिल से प्यार करते हैं कहलाते हैं दीवाने
मैं तेरा दीवाना तू मेरी दीवानी
तू मेरा दीवाना मैं तेरी दीवानी
दीवाना दिल है …
नींद में जब तू आए आँखों में जब समाए
दिल ये मांगे दुआएं ख्वाब ना टूट जाएं
तुझको ख्वाबों की यारा क्या है अब ज़रूरत
जो ख्वाब देखा था तूने वो बन गया है हकीकत
मैं तेरा दीवाना …
मेरी धड़कन से तेरा एक अजीब रिश्ता है
तू याद जब भी करता है दिल ज़ोर से धड़कता है
मैं दिल हूँ तुम मेरी धड़कन दिल मेरा मुझसे कहता है
जो चोट लगती है तुझको तो दर्द मुझको होता है
मैं तेरा दीवाना …
dīvānā dil hai merā dīvānā dil hai terā
dīvānepan meṅ chhupā dīvāngī kā mazā
dil merā tujhko hī jāne dil terā mujhko hī jāne
jo dil se pyār karte haiṅ kahlāte haiṅ dīvāne
maiṅ terā dīvānā tū merī dīvānī
tū merā dīvānā maiṅ terī dīvānī
dīvānā dil hai …
nīṅd meṅ jab tū āe āṇkhoṅ meṅ jab samāe
dil ye māṅge duāeṅ khvāb nā ṭūṭ jāeṅ
tujhko khvāboṅ kī yārā kyā hai ab zarūrat
jo khvāb dekhā thā tūne vo ban gayā hai hakīkat
maiṅ terā dīvānā …
merī dhaṛkan se terā ek ajīb riśhtā hai
tū yād jab bhī kartā hai dil zor se dhaṛaktā hai
maiṅ dil hūṇ tum merī dhaṛkan dil merā mujhse kahtā hai
jo choṭ lagtī hai tujhko to dard mujhko hotā hai
maiṅ terā dīvānā …