Deevaalee aaee ... daeeyaa re daeeyaa laaj mohe laage

दीवाली आई ... दईया रे दईया लाज मोहे लागे
Work
Year
Language

दीवाली आई घर-घर दीप जले

दईया रे दईया लाज मोहे लागे -2
पायल मोरी बाजे सास मोरी जागे
दईया रे दईया …

आऊँ मैं कैसे डगर तोरी मितवा
छुप-छुप देखे हैं घर के लोगवा
पग ठहरे तो मन मोरा भागे -2
दईया रे दईया …

चूड़ियाँ खनकें तो डर-डर जाऊँ
झाँझर झनके तो मर-मर जाऊँ
बँधे पग में शरम के धागे -2
दईया रे दईया …

ननदी रोके देवर मोरा टोके
चलें ना बहाने चलें ना कोई धोखे
बड़ी मुश्क़िल है आज मोरे आगे -2
दईया रे दईया …

dīvālī āī ghar-ghar dīp jale

daīyā re daīyā lāj mohe lāge -2
pāyal morī bāje sās morī jāge
daīyā re daīyā …

āūṇ maiṅ kaise ḍagar torī mitvā
chhup-chhup dekhe haiṅ ghar ke logvā
pag ṭhahre to man morā bhāge -2
daīyā re daīyā …

chūṛiyāṇ khankeṅ to ḍar-ḍar jāūṇ
jhāṇjhar jhanke to mar-mar jāūṇ
bṇdhe pag meṅ śharam ke dhāge -2
daīyā re daīyā …

nandī roke devar morā ṭoke
chaleṅ nā bahāne chaleṅ nā koī dhokhe
baṛī muśhqil hai āj more āge -2
daīyā re daīyā …