Title (Indic)नज़र फेरो न हमसे हम हैं तुम पर मरने वालों में WorkDeedar Year1951 LanguageHindi Credits Role Artist Music Naushad Performer Shamshad Performer G M Durrani Writer Shakeel Badayuni LyricsHindiजी: नज़र फेरो न हमसे हम हैं तुम पर मरने वालों में नज़र फेरो न हमसे -2 हम हैं तुम पर मरने वालों में हमारा नाम भी लिख लो मोहब्बत करने वालों में -2 श: ( जहाँ नज़रें मिलीं बोले के हम हैं मरने वालों में ) -2 बनावट ही बनावट है मोहब्बत करने वालों में -2 जी: ओ तुम्हारी शोख़ियों को दिल मेरा नाकाम कर देगा आं सुना कर प्यार के नगमें तुम्हें बदनाम कर देगा हाँ अजी ये दिल नहीं छिप-छिप के आहें भरने वालों में हमारा नाम भी लिख लो मोहब्बत करने वालों में -2 श: वही दिल है जो इस दुनिया में अपना नाम कर जाये मुहब्बत क्या करेगा वो जो बदनामी से डर जाये हाँ नहीं हम आपकी इन धमकियों से डरने वालों में बनावट ही बनावट है मोहब्बत करने वालों में -2 Englishjī: nazar phero na hamse ham haiṅ tum par marne vāloṅ meṅ nazar phero na hamse -2 ham haiṅ tum par marne vāloṅ meṅ hamārā nām bhī likh lo mohabbat karne vāloṅ meṅ -2 śha: ( jahāṇ nazreṅ milīṅ bole ke ham haiṅ marne vāloṅ meṅ ) -2 banāvaṭ hī banāvaṭ hai mohabbat karne vāloṅ meṅ -2 jī: o tumhārī śhokhiyoṅ ko dil merā nākām kar degā āṅ sunā kar pyār ke nagmeṅ tumheṅ badnām kar degā hāṇ ajī ye dil nahīṅ chhip-chhip ke āheṅ bharne vāloṅ meṅ hamārā nām bhī likh lo mohabbat karne vāloṅ meṅ -2 śha: vahī dil hai jo is duniyā meṅ apnā nām kar jāye muhabbat kyā karegā vo jo badnāmī se ḍar jāye hāṇ nahīṅ ham āpkī in dhamkiyoṅ se ḍarne vāloṅ meṅ banāvaṭ hī banāvaṭ hai mohabbat karne vāloṅ meṅ -2