Dard jagaa ke, thes lagaa ke chale gaye vo chale gaye

दर्द जगा के, ठेस लगा के चले गये वो चले गये
Work
Year
Language

दर्द जगा के, ठेस लगा के
चले गये वो चले गये
नैनों में समा के, मन तड़पा के
चले गये वो चले गये

छलके आँसू तो बह न सके -2
फिर होंठ खुले कुछ कह न सके
वो दिल में रह कर रह न सके
वो रह न सके
क्‌या प्यार इसी को कहते हैं
जो हमें भुला के चले गये

दर्द जगा के, ठेस लगा के
चले गये वो चले गये

हमने तुमसे ऐतबार किया -2
इस दिल की दुनिया वार दिया
हाय तुमने भी था इकरार किया
झूठे वादे से मन मेरा बालम
बहला के जो चले गये

( दर्द जगा के, ठेस लगा के
चले गये वो चले गये ) -2

dard jagā ke, ṭhes lagā ke
chale gaye vo chale gaye
nainoṅ meṅ samā ke, man taṛpā ke
chale gaye vo chale gaye

chhalke āṇsū to bah na sake -2
phir hoṅṭh khule kuchh kah na sake
vo dil meṅ rah kar rah na sake
vo rah na sake
k‌yā pyār isī ko kahte haiṅ
jo hameṅ bhulā ke chale gaye

dard jagā ke, ṭhes lagā ke
chale gaye vo chale gaye

hamne tumse aitbār kiyā -2
is dil kī duniyā vār diyā
hāy tumne bhī thā ikrār kiyā
jhūṭhe vāde se man merā bālam
bahlā ke jo chale gaye

( dard jagā ke, ṭhes lagā ke
chale gaye vo chale gaye ) -2