Damroo baaje damroo baaje damroo baaje ye he

दमरू बाजे डमरू बाजे डमरू बाजे ये हे
Year
Language

डमरू बाजे ये हे
डमरू बाजे डमरू बाजे डमरू बाजे ये हे
बाजे धमक धमक धम
हम तुम नाचे झूम के नाचे ये हे
नाचे थिरक थिरक थिर्र
थिरक थिरक
सन सनन सनन
तलवार की गूँज में पायल छनके छन
छनक छननन नन
डमरू बाजे ये हे …
ताक चिकी चिकी दुम

जिस मिट्टी में हैं वफ़ाएं उस मिट्टी के लाल हैं
नाज़ है हम को ओय होय
दुश्मन को जो जड़ से उखाड़े ऐसी हवा के यार हैं हम
नाज़ है हम को हो हो हो हो हो
सीना है उस पर्वत जैसा
सीना हमारा है पर्वत के जैसा
जिस के साये में हैं हम
सागर सा गहरा है दिल
सागर सा गहरा है दिल ये हमारा
हैं अग्नि के पुजारी हम
सन सनन सनन
तलवार की गूँज …

हो ऐ साहिब जी तू ही मालिक तू ही तो सरकार है
प्यार है तुम से ओय होय
जान लेना चीज़ है क्‌या जां देने को तैयार हैं
प्यार है तुम से ओ हो हो हो हो
तेरे पैरों की मिट्टी भी
हाँ तेरे पैरों की मिट्टी भी यारा
अपने माथे का चंदन है
तुझ को देखें तो लगता है
जब तुझ को देखें तो लगता है ऐसे
जैसे शिव के दर्शन हैं
डमरू बाजे ये हे …

ḍamrū bāje ye he
ḍamrū bāje ḍamrū bāje ḍamrū bāje ye he
bāje dhamak dhamak dham
ham tum nāche jhūm ke nāche ye he
nāche thirak thirak thirr
thirak thirak
san sanan sanan
talvār kī gūṇj meṅ pāyal chhanke chhan
chhanak chhananan nan
ḍamrū bāje ye he …
tāk chikī chikī dum

jis miṭṭī meṅ haiṅ vafāeṅ us miṭṭī ke lāl haiṅ
nāz hai ham ko oy hoy
duśhman ko jo jaṛ se ukhāṛe aisī havā ke yār haiṅ ham
nāz hai ham ko ho ho ho ho ho
sīnā hai us parvat jaisā
sīnā hamārā hai parvat ke jaisā
jis ke sāye meṅ haiṅ ham
sāgar sā gahrā hai dil
sāgar sā gahrā hai dil ye hamārā
haiṅ agni ke pujārī ham
san sanan sanan
talvār kī gūṇj …

ho ai sāhib jī tū hī mālik tū hī to sarkār hai
pyār hai tum se oy hoy
jān lenā chīz hai k‌yā jāṅ dene ko taiyār haiṅ
pyār hai tum se o ho ho ho ho
tere pairoṅ kī miṭṭī bhī
hāṇ tere pairoṅ kī miṭṭī bhī yārā
apne māthe kā chaṅdan hai
tujh ko dekheṅ to lagtā hai
jab tujh ko dekheṅ to lagtā hai aise
jaise śhiv ke darśhan haiṅ
ḍamrū bāje ye he …