ḍāl dī maiṅ ne jal-thal meṅ nayyā
jāgnā ho to jāgo khevayyā
jāgnā ho to jāgo khevayyā
devtā tum ho merā sahārā
maiṅ ne thāmā hai dāman tumhārā
rafi, mubarak & chorus: devtā tum ho merā sahārā
maiṅ ne thāmā hai dāman tumhārā
mubarak: thām lo apnī rādhā ko bhagvān
ruk na jāye kahīṅ dil kī dhaṛkan
ye na kahne lagī koī birahan
mūṇh chhupākar sāṇvriyā ne mārā
devtā tum ho merā sahārā
rafi, mubarak & chorus: devtā tum ho merā sahārā
maiṅ ne thāmā hai dāman tumhārā
mere nainoṅ ko tum aise pāye
do ghaṛī mujh ko niṅdiyā na āye
merī āṇkhoṅ se āṇkhoṅ laṛāye
ḍūbtā hai savere kā tārā
devtā tum ho mer sahārā...
rafi, mubarak & chorus: devtā tum ho merā sahārā
maiṅ ne thāmā hai dāman tumhārā
rafi: rain bharī hai gehrā aṇdherā
hāth le lo tum hāthoṅ meṅ merā
(so gaye maṅdiroṅ ke pujārī
gūṇjtī hai murliyā tumhārī ) -2
ātmā jhūmtī hai hamārī
mubarak: dil khiṅchā jā rahā hai hamārā
devtā tum ho merā sahārā
rafi, mubarak & chorus: (devtā tum ho merā sahārā
maiṅ ne thāmā hai dāman tumhārā ) - 2
mubarak: chhoṛ kar main na bhagvān ko jāūṇ
rāt bhar yūṇ hī jāgūṇ jagāūṇ
gīt gā gā ke roūṇ rulāūṇ
ye vachan lūṇ ke maiṅ hūṇ tumhārā - 2
rafi: maiṅ hūṇ tumhārā
mubarak: ye vachan lūṇ ke maiṅ hūṇ tumhārā
rafi: maiṅ hūṇ tumhārā
mubarak: ye vachan lūṇ ke maiṅ hūṇ tumhārā
rafi: maiṅ hūṇ tumhārā