Title (Indic)आँसू तो नहीं हैं आँखों में WorkDaera Year1953 LanguageHindi Credits Role Artist Music Jamal Sen Performer Talat Mahmood Writer Majrooh Sultanpuri LyricsHindiआँसू तो नहीं हैं आँखों में पहलू में मगर दिल जलता है, दिल जलता है बूँदों पे लहू है हसरत का जिगर पर आरा सा चलता है, दिल जलता है जाग उठता है जब ग़म क्या कहिये उस वक़्त का आलम क्या कहिये जिस रात गये धीरे धीरे जब कोई कलेजा मलता है, दिल जलता है ऐ दर्द-ए-जिगर ये बात है क्या ये आप ही अपनी रात है क्या होती है कसक हर धड़कन में हर साँस लिये खंजर चलता है, दिल जलता है हम हार गये हैं तेरे ग़म से देखा ही नहीं जाता हमसे जलता है पतंगा जब कोई और शम्मा का आँसू ढलता है, दिल जलता है Englishāṇsū to nahīṅ haiṅ āṇkhoṅ meṅ pahlū meṅ magar dil jaltā hai, dil jaltā hai būṇdoṅ pe lahū hai hasrat kā jigar par ārā sā chaltā hai, dil jaltā hai jāg uṭhtā hai jab ġham kyā kahiye us vaqt kā ālam kyā kahiye jis rāt gaye dhīre dhīre jab koī kalejā maltā hai, dil jaltā hai ai dard-e-jigar ye bāt hai kyā ye āp hī apnī rāt hai kyā hotī hai kasak har dhaṛkan meṅ har sāṇs liye khaṅjar chaltā hai, dil jaltā hai ham hār gaye haiṅ tere ġham se dekhā hī nahīṅ jātā hamse jaltā hai pataṅgā jab koī aur śhammā kā āṇsū ḍhaltā hai, dil jaltā hai