Daeeyaa re daeeyaa jashodaa maeeyaa isko sanbhaal

दईया रे दईया जशोदा मईया इसको संभाल्
Work
Year
Language

दईया रे दईया जशोदा मईया इसको संभाल
बड़ा नटखट है तेरो नन्दलाल

पनिया भरन को जाने ना दे
जाऊँ तो वापस आने ना दे
राह ना छोड़े मटकी फोड़े माखन ले निकाल
बड़ा नटखट है …

जमुना पे ऐसी बंसी बजाई
तन में मन में आग लगाई
नींद चुराई राम दुहाई किया बुरा हाल
बड़ा नटखट है …

प्रीत बिना कोई गीत ना जाने
प्रीत की लेकिन रीत ना जाने
बिरहा की मारी राधा बिचारी तड़पे कितने साल
बड़ा नटखट है …

daīyā re daīyā jaśhodā maīyā isko saṅbhāl
baṛā naṭkhaṭ hai tero nandlāl

paniyā bharan ko jāne nā de
jāūṇ to vāpas āne nā de
rāh nā chhoṛe maṭkī phoṛe mākhan le nikāl
baṛā naṭkhaṭ hai …

jamunā pe aisī baṅsī bajāī
tan meṅ man meṅ āg lagāī
nīṅd churāī rām duhāī kiyā burā hāl
baṛā naṭkhaṭ hai …

prīt binā koī gīt nā jāne
prīt kī lekin rīt nā jāne
birhā kī mārī rādhā bichārī taṛpe kitne sāl
baṛā naṭkhaṭ hai …