Churaa le naa tumko ye mausam suhaanaa

चुरा ले ना तुमको ये मौसम सुहाना
Year
Language

मु: चुरा ले ना तुमको ये मौसम सुहाना
खुली वादियों में अकेली न जाना -2
ल: लुभाता है मुझको ये मौसम सुहाना
मैं जाऊँगी तुम मेरे पीछे न आना -2

मु: लिपट जाएगा कोई बेबाक झोंका
जवानी की रौ में ना आँचल उड़ाना
ल: मेरे वास्ते तुम परेशां न होना
मुझे ख़ूब आता है दामन बचाना -2
मैं जाऊँगी तुम …

मु: घटा भी कभी चूम लेती है चेहरा
समझ सोच कर रुख़ से ज़ुल्फ़ें हटाना
ल: घटा मेरे नज़दीक आकर तो देखे
इन आँखों ने सीखा है बिजली गिराना -2

मु: तुम एक फूल हो तुमको ढूँढूँगा कैसे
कहीं मिल के फूलों में गुम हो न जाना
ल: जो फूलों में रंगत मिले भी तो क्‌या है
जुदा मेरी ख़ुश्बू जुदा मुस्कुराना -2
मैं जाऊँगी तुम …

mu: churā le nā tumko ye mausam suhānā
khulī vādiyoṅ meṅ akelī na jānā -2
la: lubhātā hai mujhko ye mausam suhānā
maiṅ jāūṇgī tum mere pīchhe na ānā -2

mu: lipaṭ jāegā koī bebāk jhoṅkā
javānī kī rau meṅ nā āṇchal uṛānā
la: mere vāste tum pareśhāṅ na honā
mujhe khūb ātā hai dāman bachānā -2
maiṅ jāūṇgī tum …

mu: ghaṭā bhī kabhī chūm letī hai chehrā
samajh soch kar rukh se zulfeṅ haṭānā
la: ghaṭā mere nazdīk ākar to dekhe
in āṇkhoṅ ne sīkhā hai bijlī girānā -2

mu: tum ek phūl ho tumko ḍhūṇḍhūṇgā kaise
kahīṅ mil ke phūloṅ meṅ gum ho na jānā
la: jo phūloṅ meṅ raṅgat mile bhī to k‌yā hai
judā merī khuśhbū judā muskurānā -2
maiṅ jāūṇgī tum …