Churaa le naa tum ko ye mausam suhaanaa

चुरा ले ना तुम को ये मौसम सुहाना
Year
Language

चुरा ले ना तुम को ये मौसम सुहाना
खुली वादियों में अकेली ना जाना
लुभाता है मुझको ये मौसम सुहाना
मैं जाऊँगी तुम मेरे पीछे ना आना

लिपट जायेगा कोई बेपाक झोंका
जवानी की रौ में ना आंचल उड़ना
मेरे वास्ते तुम परेशान ना होना
मुझे खूब आता है दामन बचाना

घटा भी कभी चूम लेती है चेहरा
समझ सोच कर रुख से जुल्फें हटाना
घटा मेरे नजदीक आ के तो देखे
इन आँखों ने सीखा है बिजली गिराना

churā le nā tum ko ye mausam suhānā
khulī vādiyoṅ meṅ akelī nā jānā
lubhātā hai mujhko ye mausam suhānā
maiṅ jāūṇgī tum mere pīchhe nā ānā

lipaṭ jāyegā koī bepāk jhoṅkā
javānī kī rau meṅ nā āṅchal uṛnā
mere vāste tum pareśhān nā honā
mujhe khūb ātā hai dāman bachānā

ghaṭā bhī kabhī chūm letī hai chehrā
samajh soch kar rukh se julpheṅ haṭānā
ghaṭā mere najdīk ā ke to dekhe
in āṇkhoṅ ne sīkhā hai bijlī girānā