चुपके चुपके चल री पुरवईया
चुपके चुपके चल री पुरवइया
ओ चुपके चुपके चल री पुरवइया
चुपके चुपके चल री पुरवइया
बाँसुरी बजाये रे, रास रचाए दय्या रे दय्या
गोपियों संग कन्हैया
चुपके
पागल पवन से, कैसे कोई बोले (2)
गोरी के मुख से, घुँघटा ना खोले,
डोले, हौले से मन की नैया
गोपियों संग कन्हैया
चुपके …
ये क्या हुआ मुझको, क्या है ये पहेली (2)
ऐसे जैसे के, कोई राधा की सहेली मैं भी,
ढूंढू कदम की छैंया
गोपियों संग कन्हैया
चुपके …
ऐसे समय पे कोई, चुप भी रहे कैसे (2)
बाँध लिये रुत ने, पग मैं घुँघरू जैसे
नाचे मन ता थैय्य ता थैया
गोपियों संग कन्हैया
चुपके …
chupke chupke chal rī puravaiyā
o chupke chupke chal rī puravaiyā
chupke chupke chal rī puravaiyā
bāṇsurī bajāye re, rās rachāe dayyā re dayyā
gopiyoṅ saṅg kanhaiyā
chupke
pāgal pavan se, kaise koī bole (2)
gorī ke mukh se, ghuṇghṭā nā khole,
ḍole, haule se man kī naiyā
gopiyoṅ saṅg kanhaiyā
chupke …
ye kyā huā mujhko, kyā hai ye pahelī (2)
aise jaise ke, koī rādhā kī sahelī maiṅ bhī,
ḍhūṅḍhū kadam kī chhaiṅyā
gopiyoṅ saṅg kanhaiyā
chupke …
aise samay pe koī, chup bhī rahe kaise (2)
bāṇdh liye rut ne, pag maiṅ ghuṇghrū jaise
nāche man tā thaiyy tā thaiyā
gopiyoṅ saṅg kanhaiyā
chupke …