Chup tum raho chup ham rahen

चुप तुम रहो चुप हम रहें
Year
Language

चुप तुम रहो चुप हम रहें
खामोशी को खामोशी से ज़िंदगी को ज़िंदगी से बात करने दो
चुप तुम रहो …

आँखों में खो जाएं आँखें बोलें हाथों से हाथ
बाहों में छुपकर साँसों से जैसे डोले रात
उंगलियों को उंगलियों से मौसमों को शोखियों से बात करने दो
चुप तुम रहो …

होंठों पर होंठों से लिखे बिन शब्दों के गीत
धरती से अंबर तक गूंजे जिस्मों का संगीत
बेखुदी को बेखुदी से आशिक़ी को आशिक़ी से बात करने दो
चुप तुम रहो …

chup tum raho chup ham raheṅ
khāmośhī ko khāmośhī se ziṅdgī ko ziṅdgī se bāt karne do
chup tum raho …

āṇkhoṅ meṅ kho jāeṅ āṇkheṅ boleṅ hāthoṅ se hāth
bāhoṅ meṅ chhupkar sāṇsoṅ se jaise ḍole rāt
uṅgliyoṅ ko uṅgliyoṅ se mausmoṅ ko śhokhiyoṅ se bāt karne do
chup tum raho …

hoṅṭhoṅ par hoṅṭhoṅ se likhe bin śhabdoṅ ke gīt
dhartī se aṅbar tak gūṅje jismoṅ kā saṅgīt
bekhudī ko bekhudī se āśhiqī ko āśhiqī se bāt karne do
chup tum raho …