Chup chup khare ho zaroor koee baat hai

चुप चुप खड़े हो ज़रूर कोई बात है
Work
Year
Language

चुप-चुप खड़े हो ज़रूर कोई बात है
पहली मुलाक़ात है जी पहली मुलाक़ात है - 2
चुप-चुप खड़े हो …

(साजन की बात पर, गुस्सा जो आ गया
ज़ुल्फ़ों का बादल, गालों पे छा गया - 2 ) - 2
अभी-अभी दिन था अभी-अभी रात है - 2
पहली मुलाक़ात है जी पहली मुलाक़ात है - 2
चुप-चुप खड़े हो …

(पहली मुलाक़ात में, बात ऐसी हो गई
राजा भी खो गया, (रानी भी खो गई - 2 )) - 2
दोनो को न पता चला मज़े की ये बात है - 2
पहली मुलाक़ात है जी पहली मुलाक़ात है - 2
चुप-चुप खड़े हो …

chup-chup khaṛe ho zarūr koī bāt hai
pahlī mulāqāt hai jī pahlī mulāqāt hai - 2
chup-chup khaṛe ho …

(sājan kī bāt par, gussā jo ā gayā
zulfoṅ kā bādal, gāloṅ pe chhā gayā - 2 ) - 2
abhī-abhī din thā abhī-abhī rāt hai - 2
pahlī mulāqāt hai jī pahlī mulāqāt hai - 2
chup-chup khaṛe ho …

(pahlī mulāqāt meṅ, bāt aisī ho gaī
rājā bhī kho gayā, (rānī bhī kho gaī - 2 )) - 2
dono ko na patā chalā maze kī ye bāt hai - 2
pahlī mulāqāt hai jī pahlī mulāqāt hai - 2
chup-chup khaṛe ho …