Choree choree vo ... kartee hoon main to pyaar sirf sunday ko

चोरी चोरी वो ... करती हूँ मैं तो प्यार सिर्फ़ सुन्दय को
Year
Language

चोरी चोरी वो मेरे पास आया
खिड़की के नीचे से मुझको बुलाया
कहने लगा चल मेरे साथ रानी
मैने कोई उसकी बात न मानी
फिर उसने पूछा हफ़्ते का क्‌या program
हैं मिलके बितायेंगे कब एक शाम
तो मैने कहा

हूँ करती हूँ मैं तो प्यार सिर्फ़ sunday को
तुम करना मेरा इंतज़ार सिर्फ़ sunday को

monday को मुझे बड़ा काम है
इक पल भी ना आराम है
मंगल बुध को मैं क्‌या कहूँ
मुश्किल बड़ी गुलफ़ाम है
जुम्मेरात जुम्मा फिर बाज़ार जाऊँ
शनिवार को घर मैं देर से आऊँ
देर से आऊँ बाबा देर से आऊँ क्‌यूँकि
करती हूँ मैं इकरार सिर्फ़ sunday को
तुम करना मेरा …

ऐसे यहाँ रोज़ मिलने में तो मुझको मज़ा नहीं आए
हो जाए ना बदनामी कहीं मेरा तो जी घबराये
माना के तू बेख्याल है
तेरा दीवानों सा हाल है
तेरे मेरे दर्मियां
रहने दें कुछ दिन की दूरियां
ये बेबसी मेरी जान ले क्‌यूँकि
करती हूँ मैं दीदार सिर्फ़ sunday को
तुम करना मेरा …

लोगों की आँखों से सोलह बरस मैने संभाली जवानी
कर दूंगी उसके हवाले जो होगा मेरा दिलजानी
लाएगा डोला बारात वो
ले जाएगा मुझको साथ वो
मानूंगी ना तेरी बात मैं
हाथों में दूंगी ना हाथ मैं
जा रे जा कहा मेरा मान ले क्‌यूँकि
करती हूँ आँखें चार हाँ सिर्फ़ sunday को
तुम करना मेरा …

chorī chorī vo mere pās āyā
khiṛkī ke nīche se mujhko bulāyā
kahne lagā chal mere sāth rānī
maine koī uskī bāt na mānī
phir usne pūchhā hafte kā k‌yā program
haiṅ milke bitāyeṅge kab ek śhām
to maine kahā

hūṇ kartī hūṇ maiṅ to pyār sirf sunday ko
tum karnā merā iṅtazār sirf sunday ko

monday ko mujhe baṛā kām hai
ik pal bhī nā ārām hai
maṅgal budh ko maiṅ k‌yā kahūṇ
muśhkil baṛī gulafām hai
jummerāt jummā phir bāzār jāūṇ
śhanivār ko ghar maiṅ der se āūṇ
der se āūṇ bābā der se āūṇ k‌yūṇki
kartī hūṇ maiṅ ikrār sirf sunday ko
tum karnā merā …

aise yahāṇ roz milne meṅ to mujhko mazā nahīṅ āe
ho jāe nā badnāmī kahīṅ merā to jī ghabrāye
mānā ke tū bekhyāl hai
terā dīvānoṅ sā hāl hai
tere mere darmiyāṅ
rahne deṅ kuchh din kī dūriyāṅ
ye bebsī merī jān le k‌yūṇki
kartī hūṇ maiṅ dīdār sirf sunday ko
tum karnā merā …

logoṅ kī āṇkhoṅ se solah baras maine saṅbhālī javānī
kar dūṅgī uske havāle jo hogā merā diljānī
lāegā ḍolā bārāt vo
le jāegā mujhko sāth vo
mānūṅgī nā terī bāt maiṅ
hāthoṅ meṅ dūṅgī nā hāth maiṅ
jā re jā kahā merā mān le k‌yūṇki
kartī hūṇ āṇkheṅ chār hāṇ sirf sunday ko
tum karnā merā …