Choree-choree jo tumse milee ... ajee ise pyaar kahenge

चोरी-चोरी जो तुमसे मिली ... अजी इसे प्यार कहेंगे
Work
Year
Language

चोरी-चोरी जो तुमसे मिली तो लोग क्‌या कहेंगे
अजी इसे प्यार कहेंगे
गली गली ये बात चली तो लोग क्‌या कहेंगे
अजी इसे प्यार कहेंगे

तेरा ख्याल मेरे दिल में जब से आया है
क़दम संभलते नहीं और नशा सा छाया है
क़रार खो के ही दिल ने क़रार पाया है
धीरे धीरे ये बात बढ़ी तो लोग क्‌या कहेंगे
अजी इसे प्यार कहेंगे …

कितनी ज़ालिम ये मुलाक़ात हुई
जिससे डरते थे वही बात हुई
बढ़ गई प्यास तमन्नाओं की
इस तरह प्यार की बरसात हुई
क़सम तुम्हारी मेरे दिल की बात कह डाली
छोड़ो छोड़ो ये दिल्लगी कि लोग क्‌या कहेंगे
अजी इसे प्यार कहेंगे …

chorī-chorī jo tumse milī to log k‌yā kaheṅge
ajī ise pyār kaheṅge
galī galī ye bāt chalī to log k‌yā kaheṅge
ajī ise pyār kaheṅge

terā khyāl mere dil meṅ jab se āyā hai
qadam saṅbhalte nahīṅ aur naśhā sā chhāyā hai
qarār kho ke hī dil ne qarār pāyā hai
dhīre dhīre ye bāt baṛhī to log k‌yā kaheṅge
ajī ise pyār kaheṅge …

kitnī zālim ye mulāqāt huī
jisse ḍarte the vahī bāt huī
baṛh gaī pyās tamannāoṅ kī
is tarah pyār kī barsāt huī
qasam tumhārī mere dil kī bāt kah ḍālī
chhoṛo chhoṛo ye dillgī ki log k‌yā kaheṅge
ajī ise pyār kaheṅge …