Choree choree dekhaa tumhen ... aapko to khabar naheen iskee

चोरी चोरी देखा तुम्हें ... आपको तो खबर नहीं इसकी
Year
Language

चोरी चोरी देखा तुम्हें
चोरी चोरी चाहा तुम्हें
चोरी चोरी मांगा तुम्हें
चोरी चोरी पूजा तुम्हें
आपको तो खबर नहीं इसकी
आपको मैने कितना प्यार किया हाँ
आपको किस तरह मैं बताऊँ
कब कहाँ और कैसे दिल दिया हाँ
आपको तो खबर …

मैने कहा क्‌या तुमने सुना
दिलबर तुम्हें ही मैने चुना
कहना तुम्हारा अच्छा लगा
सपना मुझे अब सच्चा लगा हाँ
आपको हाल-ए-दिल क्‌या सुनाऊँ
आपने चैन मेरा ले लिया हाँ
आपको तो खबर …

देखो न मुझको अब दूर से
ये माँग भर दो सिंदूर से
कहता है मेरा दीवानापन
होके रहेगा अपना मिलन हाँ
आपसे जान-ए-मन क्‌या छुपाऊँ
आपको मैने माना है पिया हाँ
आपको तो खबर …

chorī chorī dekhā tumheṅ
chorī chorī chāhā tumheṅ
chorī chorī māṅgā tumheṅ
chorī chorī pūjā tumheṅ
āpko to khabar nahīṅ iskī
āpko maine kitnā pyār kiyā hāṇ
āpko kis tarah maiṅ batāūṇ
kab kahāṇ aur kaise dil diyā hāṇ
āpko to khabar …

maine kahā k‌yā tumne sunā
dilbar tumheṅ hī maine chunā
kahnā tumhārā achchhā lagā
sapnā mujhe ab sachchā lagā hāṇ
āpko hāl-e-dil k‌yā sunāūṇ
āpne chain merā le liyā hāṇ
āpko to khabar …

dekho na mujhko ab dūr se
ye māṇg bhar do siṅdūr se
kahtā hai merā dīvānāpan
hoke rahegā apnā milan hāṇ
āpse jān-e-man k‌yā chhupāūṇ
āpko maine mānā hai piyā hāṇ
āpko to khabar …