Choree choree, chupke chupke, palkon ke peechhe se chhupke

चोरी चोरी, चुपके चुपके, पलकों के पीछे से छुपके
Year
Language

चोरी चोरी चुपके चुपके
पलकों के पीछे से छुपके
कह गई सारी बतियाँ
अखियाँ, दो अखियाँ
ये अखियाँ, दो अखियाँ

होंठों पर था लाज का पहरा
धड़क गया ये दिल न ठहरा
बन गई प्रेम की पतियाँ
अखियाँ, दो अखियाँ
ये अखियाँ, दो अखियाँ

आने को तो नींद भी आई
कुछ न पूछो राम दुहाई
जागी सारी रतियाँ
अखियाँ, दो अखियाँ
ये अखियाँ, दो अखियाँ

लाख छुपाये मीरा रानी
मनमोहन की प्रेम दीवानी
जान गई जान गई जान गई
जान गई सब सखियाँ
अखियाँ, दो अखियाँ
ये अखियाँ, दो अखियाँ

chorī chorī chupke chupke
palkoṅ ke pīchhe se chhupke
kah gaī sārī batiyāṇ
akhiyāṇ, do akhiyāṇ
ye akhiyāṇ, do akhiyāṇ

hoṅṭhoṅ par thā lāj kā pahrā
dhaṛak gayā ye dil na ṭhahrā
ban gaī prem kī patiyāṇ
akhiyāṇ, do akhiyāṇ
ye akhiyāṇ, do akhiyāṇ

āne ko to nīṅd bhī āī
kuchh na pūchho rām duhāī
jāgī sārī ratiyāṇ
akhiyāṇ, do akhiyāṇ
ye akhiyāṇ, do akhiyāṇ

lākh chhupāye mīrā rānī
manmohan kī prem dīvānī
jān gaī jān gaī jān gaī
jān gaī sab sakhiyāṇ
akhiyāṇ, do akhiyāṇ
ye akhiyāṇ, do akhiyāṇ