Chooriyaan bajaaoon ki bajaaoon kangnaa

चूड़ियां बजाऊं कि बजाऊं कंगना
Work
Year
Language

चूड़ियां बजाऊं कि बजाऊं कंगना
बोल तुझे कैसे मैं जगाऊं सजना
अंग अंग बहके तन मेरा महके मन मेरा बहके
कैसे ये जलन मैं बुझाऊं सजना
चूड़ियां बजाऊं …

रैना है हाँ मिलने की हाँ फूलों के खिलने की
अब कैसी हाँ दूरी है काहे की मजबूरी है
खोल आँखें देख साजन मेरे जीवन को
चुनरी ज़रा सी ढलकाऊं सजना
बोल तुझे कैसे मैं …

यूं ना जा हाँ शरमा के हाँ शोलों को भड़का के
प्यारी सी हाँ पप्पी ले हाँ ऐसे न झप्पी ले
चैन आए जान-ए-जानां मेरी धड़कन को
कुंडी दरवाजे की लगाऊं सजना
अंग अंग बहके …

chūṛiyāṅ bajāūṅ ki bajāūṅ kaṅgnā
bol tujhe kaise maiṅ jagāūṅ sajnā
aṅg aṅg bahke tan merā mahke man merā bahke
kaise ye jalan maiṅ bujhāūṅ sajnā
chūṛiyāṅ bajāūṅ …

rainā hai hāṇ milne kī hāṇ phūloṅ ke khilne kī
ab kaisī hāṇ dūrī hai kāhe kī majbūrī hai
khol āṇkheṅ dekh sājan mere jīvan ko
chunrī zarā sī ḍhalkāūṅ sajnā
bol tujhe kaise maiṅ …

yūṅ nā jā hāṇ śharmā ke hāṇ śholoṅ ko bhaṛkā ke
pyārī sī hāṇ pappī le hāṇ aise na jhappī le
chain āe jān-e-jānāṅ merī dhaṛkan ko
kuṅḍī darvāje kī lagāūṅ sajnā
aṅg aṅg bahke …