Chiraagh dil kaa jalaao bahut andheraa hai

चिराग़ दिल का जलाओ बहुत अँधेरा है
Work
Year
Language

चिराग़ दिल का जलाओ बहुत अँधेरा है -2
कहीं से लौट के आओ बहुत अँधेरा है
चिराग़ दिल का …

कहाँ से लाऊँ वो रंगत गई बहारों की -2
तुम्हारे साथ गई रोशनी नज़ारों की
मुझे भी पास बुलाओ बहुत अँधेरा है
चिराग़ दिल का …

सितारों तुम से अँधेरे कहाँ संभलते हैं -2
उन्हीं के नक़श-ए-क़दम से चिराग़ जलते हैं
उन्हीं को ढूँढ के लाओ बहुत अँधेरा है
चिराग़ दिल का …

chirāġh dil kā jalāo bahut aṇdherā hai -2
kahīṅ se lauṭ ke āo bahut aṇdherā hai
chirāġh dil kā …

kahāṇ se lāūṇ vo raṅgat gaī bahāroṅ kī -2
tumhāre sāth gaī rośhnī nazāroṅ kī
mujhe bhī pās bulāo bahut aṇdherā hai
chirāġh dil kā …

sitāroṅ tum se aṇdhere kahāṇ saṅbhalte haiṅ -2
unhīṅ ke naqaśh-e-qadam se chirāġh jalte haiṅ
unhīṅ ko ḍhūṇḍh ke lāo bahut aṇdherā hai
chirāġh dil kā …