Chhupaanaa bhee naheen aataa, jataanaa bhee naheen aataa

छुपाना भी नहीं आता, जताना भी नहीं आता
Work
Year
Language

छुपाना भी नहीं आता, जताना भी नहीं आता
हमें तुम से मोहब्बत है, बताना भी नहीं आता

हथेलीपर तुम्हारा नाम लिखते हैं, मिटाते हैं
तुम ही से प्यार करते हैं, तुम ही से ही क्यों छुपाते हैं
जुबाँ पे बात है लेकिन सुनाना ही नहीं आता

चोरी चोरी छुपके छुपके तुम को देखा करते हैं
हाल-ए- दिल सुनाने से ना जाने क्यों डरते हैं
इतना पागल दिल है मेरा, मनाना भी नहीं आता

मोहब्बत कैसे करते है, कोई तो हम को समझाये
कही ऐसा न हो के प्यार बिन उमर कट जाये
तुम से मिलने का कोई बहाना भी नहीं आता

chhupānā bhī nahīṅ ātā, jatānā bhī nahīṅ ātā
hameṅ tum se mohabbat hai, batānā bhī nahīṅ ātā

hathelīpar tumhārā nām likhte haiṅ, miṭāte haiṅ
tum hī se pyār karte haiṅ, tum hī se hī kyoṅ chhupāte haiṅ
jubāṇ pe bāt hai lekin sunānā hī nahīṅ ātā

chorī chorī chhupke chhupke tum ko dekhā karte haiṅ
hāl-e- dil sunāne se nā jāne kyoṅ ḍarte haiṅ
itnā pāgal dil hai merā, manānā bhī nahīṅ ātā

mohabbat kaise karte hai, koī to ham ko samjhāye
kahī aisā na ho ke pyār bin umar kaṭ jāye
tum se milne kā koī bahānā bhī nahīṅ ātā