Chhupaa le aankhon men banaa ke kaajal

छुपा ले आँखों में बना के काजल्
Work
Year
Language

कु: छुपा ले आँखों में बना के काजल -2
लगा ले सीने से बना के आँचल
आज का ये समाँ कल रहे न रहे
सा: बना लूँगी तुझको मैं दिल की धड़कन
लुटा दूँगी तुझपे मैं सारा जीवन
भुला दूँगी तुझे मैं ज़माने के ग़म
कु: छुपा ले आँखों में …

साँसों में आग लगी है सनम
प्यार की पिला दे मुझे शबनम
सा: तूने कैसा जादू ये मुझपे किया
छाने लगा मुझपे तेरा नशा
कि: बस में नहीं है दिल ये दीवाना
तेरे सर की कसम
सा: तेरे सर की कसम
कु: छुपा ले आँखों में …

प्यार की पहली बहार दे दे
बेक़रार दिल को क़रार दे दे
सा: आँखों में तेरी शरारत है
बातों में तेरी मोहब्बत है
कु: आशिक़ हूँ तेरा पागल दीवाना
ओ मेरी जान-ए-जां
सा: ओ मेरी जान-ए-जां
कु: छुपा ले आँखों में …

आज मैं हद से गुज़र जाऊँगा
तेरी अदाओं पे मर जाऊँगा
सा: गोरी गोरी बाहों में आ जा सजन
आज हो जाएगा अपना मिलन
ज़ुल्फ़ों के साए बदन के उजाले
तेरे लिए हैं सनम
कु ; तेरे लिए हैं सनम
कु: छुपा ले आँखों में …

ku: chhupā le āṇkhoṅ meṅ banā ke kājal -2
lagā le sīne se banā ke āṇchal
āj kā ye samāṇ kal rahe na rahe
sā: banā lūṇgī tujhko maiṅ dil kī dhaṛkan
luṭā dūṇgī tujhpe maiṅ sārā jīvan
bhulā dūṇgī tujhe maiṅ zamāne ke ġham
ku: chhupā le āṇkhoṅ meṅ …

sāṇsoṅ meṅ āg lagī hai sanam
pyār kī pilā de mujhe śhabnam
sā: tūne kaisā jādū ye mujhpe kiyā
chhāne lagā mujhpe terā naśhā
ki: bas meṅ nahīṅ hai dil ye dīvānā
tere sar kī kasam
sā: tere sar kī kasam
ku: chhupā le āṇkhoṅ meṅ …

pyār kī pahlī bahār de de
beqrār dil ko qarār de de
sā: āṇkhoṅ meṅ terī śharārat hai
bātoṅ meṅ terī mohabbat hai
ku: āśhiq hūṇ terā pāgal dīvānā
o merī jān-e-jāṅ
sā: o merī jān-e-jāṅ
ku: chhupā le āṇkhoṅ meṅ …

āj maiṅ had se guzar jāūṇgā
terī adāoṅ pe mar jāūṇgā
sā: gorī gorī bāhoṅ meṅ ā jā sajan
āj ho jāegā apnā milan
zulfoṅ ke sāe badan ke ujāle
tere lie haiṅ sanam
ku ; tere lie haiṅ sanam
ku: chhupā le āṇkhoṅ meṅ …