ham, chhupe rustam haiṅ
qayāmat kī nazar rakhte haiṅ
zamīṅ to kyā hai
āsmāṅ kī khabar rakhte haiṅ
ham, chhupe rustam haiṅ …
chhup na pāe koī tasvīr, hamāre āge
ṭūṭ jātī hai khud śhamśhīr hamāre āge
chal na pāe koī tadbīr hamāre āge
sar jhukātī hai har taqdīr hamāre āge
rāh kāṅṭoṅ meṅ banā lete haiṅ
āsmāṅ sar pe uṭhā lete haiṅ
ham agar taiśh meṅ āeṅ to
āg pānī meṅ lagā dete haiṅ
hamāre dam se ye zamānā hai
śharāb-o-jām hai, maikhānā hai
ham jahāṇ sar ko jhukā deṅ yāroṅ
vahīṅ kābā, vahīṅ butakhānā hai
ham insāṅ haiṅ, insāṅ ke lie
dar pe sar rakhte haiṅ
zamīṅ to kyā hai
āsmāṅ kī khabar rakhte hai
ham, chhupe rustam haiṅ …
torī nazriyā gaurī jaise
ras kī nadī lahrāe
ek bār jo ḍūbe in meṅ
pal-pal gotī khāe
o śhamā …
pal-pal gotā khāe
nazar ye tīr bhī, talvār bhī hai
nazar inkār bhī, iqrār bhī hai
nazar ye phūl bhī, khār bhī hai
thal bhī, megh bhī, malhār bhī hai
nazar dil kī zubān hotī hai
motiyoṅ kā makān hotī hai
pyār kā imtehān hotī hai
zamīṅ par āsmān hotī hai
nazar uṭh jāe to duā ban jāe
agar jhuk jāe to hayā ban jāe
jo tirchhī ho to adā ban jāe
paṛe sīdhī to qazā ban jāe
nazar koī bhī ho ham
sab pe nazar rakhte haiṅ
zamīṅ to kyā hai
āsmāṇ kī khabar rakhte haiṅ
ham chhupe rustam haiṅ …
ham terī talāśh meṅ jān-e-jahāṇ
jīne kā kyā dastūr bane
kabhī kais, kabhī farhād
kabhī khaiyyām, kabhī maṅsūr bane
kyā-kyā na bane ham tere lie
par, jo bhī bane, bharpūr bane
naṭkhaṭ ham naṭavar, tere lie
dar-dar ghūme, ban-ban bhaṭke
parbat pe gae, sūlī pe chaṛhe
nit khāe muqaddar se jhaṭ ke
tere ghūṇghaṭ paṭ kī salavaṭ meṅ
aṭ-aṭ ye more nainā aṭke
jhaṭapaṭ de hameṅ darasan, ham to
pyāse haiṅ, terī kālī laṭ ke
o merī ārazūu ā
o merī justjū ā
zarā tū rūbrū ā
le hī jāeṇge, uṭhā ke
bharī mahafil se tujhe
churā leṅ āṇkh se kājal
vo hunar rakhte haiṅ
ham, chhupe rustam haiṅ …