Chhup gae saare najaaren oe kyaa baat ho gaee

छुप गए सारे नजारें ओए क्या बात हो गई
Work
Year
Language

छुप गए सारे नजारें ओए क्या बात हो गई
तूने काजल लगाया दिन में रात हो गई
मिल गए नैना से नैना ओए क्या बात हो गई
दिल ने दिल को पुकारा मुलाक़ात हो गई

कल नहीं आना, मुझे ना बुलाना की मारेगा ताना ज़माना
तेरे होठों पे रात ये बहाना था
गोरी तुझको तो आज नहीं आना था
तू चली आई दुहाई, ओए क्या बात हो गई
मैंने छोड़ा ज़माना तेरे साथ हो गई

अम्बुवा की डाली पे गाये मतवाली, कोयलिया काली निराली
सावन आने का कुछ मतलब होगा
बादल छाने का कोई सबब होगा
रिमझिम छाये घटाएं, ओए क्या बात हो गई
तेरी चुनरी लहराई बरसात हो गई

छोड़ ना बैय्या, पडूँ तेरे पैया तारों की छैया में सैया
एक वो दिन था मिलाती न थी तू अँखियाँ
एक ये दिन ही तू जागे सारी सारी रतिया
बन गई गोरी चकोरी, ओए क्या बात हो गई
जिसका ड़र था बेदर्दी वोही बात हो गई

chhup gae sāre najāreṅ oe kyā bāt ho gaī
tūne kājal lagāyā din meṅ rāt ho gaī
mil gae nainā se nainā oe kyā bāt ho gaī
dil ne dil ko pukārā mulāqāt ho gaī

kal nahīṅ ānā, mujhe nā bulānā kī māregā tānā zamānā
tere hoṭhoṅ pe rāt ye bahānā thā
gorī tujhko to āj nahīṅ ānā thā
tū chalī āī duhāī, oe kyā bāt ho gaī
maiṅne chhoṛā zamānā tere sāth ho gaī

ambuvā kī ḍālī pe gāye matvālī, koyliyā kālī nirālī
sāvan āne kā kuchh matalab hogā
bādal chhāne kā koī sabab hogā
rimjhim chhāye ghaṭāeṅ, oe kyā bāt ho gaī
terī chunrī lahrāī barsāt ho gaī

chhoṛ nā baiyyā, paḍūṇ tere paiyā tāroṅ kī chhaiyā meṅ saiyā
ek vo din thā milātī na thī tū aṇkhiyāṇ
ek ye din hī tū jāge sārī sārī ratiyā
ban gaī gorī chakorī, oe kyā bāt ho gaī
jiskā ṛar thā bedardī vohī bāt ho gaī