Chhotaa bachchaa jaan ke na koee ... dubee dubee dab dab

छोटा बच्चा जान के न कोई ... डुबी डुबी डब डब्
Work
Year
Language

छोटा बच्चा जान के न कोई आँख दिखाना रे
डुबी डुबी डब डब
अक्‌ल का कच्चा समझ के हमको न समझाना रे
डुबी डुबी डब डब
भोली सूरत जान के हमसे न टकराना रे
डुबी डुबी डब डब
ना धिन धिन्ना ना धिन धिन्ना नाच नचा देंगे
छोटा बच्चा जान के …

इक दिन देके दो अठन्नियां माँ बोली जा ले आ धनिया
पैसे देके दुकानदार से मैं बोला बाबू दे दो धनिया
बड़ा सा कागज़ ले कर उसने रख दिया उसमें थोड़ा सा धनिया
मैने बोला बाबू बनिया कागज़ बेच रहे या धनिया
कागज़ रखो बाजू में धनिए को रखो तराज़ू में
सुन मेरी बात वो रहा न काबू में
क्‌या बोला
बोला तुझको बताऊं मैं मैं भी कहां कम था
मैने भी कह दिया बच्चे को ठगता है शोर मचाऊं मैं
उसके बाद हुआ क्‌या ये भी तो बतलाना रे
उसके बाद
उसके बाद तो जैसे उसका मर गया नाना रे
बीच बजरिया गाया मैने जब ये गाना रे
छोटा बच्चा जान के …

किशन भइया किशन भइया मेरे आम की गुठली गिर गई
आम को खा गुठली न देख आगे चल पीछे न देख
सीधा सीधा चल वरना पाँव में फंस जाएगी रेत
फिर क्‌या करे ये घर जा के जब माँ ने मारा रे
चुप क्‌यूं हो गए बोलो ना
सुन रे छोटू सुन रे हरिया माँ होती ममता की नदिया
डांट के हमको खुद भी रोए खाना दे बढ़िया से बढ़िया
माँ को जा के कभी सुनाना न ये गाना रे
छोटा बच्चा जान के …

chhoṭā bachchā jān ke na koī āṇkh dikhānā re
ḍubī ḍubī ḍab ḍab
ak‌la kā kachchā samajh ke hamko na samjhānā re
ḍubī ḍubī ḍab ḍab
bholī sūrat jān ke hamse na ṭakrānā re
ḍubī ḍubī ḍab ḍab
nā dhin dhinnā nā dhin dhinnā nāch nachā deṅge
chhoṭā bachchā jān ke …

ik din deke do aṭhanniyāṅ māṇ bolī jā le ā dhaniyā
paise deke dukāndār se maiṅ bolā bābū de do dhaniyā
baṛā sā kāgaz le kar usne rakh diyā usmeṅ thoṛā sā dhaniyā
maine bolā bābū baniyā kāgaz bech rahe yā dhaniyā
kāgaz rakho bājū meṅ dhanie ko rakho tarāzū meṅ
sun merī bāt vo rahā na kābū meṅ
k‌yā bolā
bolā tujhko batāūṅ maiṅ maiṅ bhī kahāṅ kam thā
maine bhī kah diyā bachche ko ṭhagtā hai śhor machāūṅ maiṅ
uske bād huā k‌yā ye bhī to batlānā re
uske bād
uske bād to jaise uskā mar gayā nānā re
bīch bajriyā gāyā maine jab ye gānā re
chhoṭā bachchā jān ke …

kiśhan bhaiyā kiśhan bhaiyā mere ām kī guṭhlī gir gaī
ām ko khā guṭhlī na dekh āge chal pīchhe na dekh
sīdhā sīdhā chal varnā pāṇv meṅ phaṅs jāegī ret
phir k‌yā kare ye ghar jā ke jab māṇ ne mārā re
chup k‌yūṅ ho gae bolo nā
sun re chhoṭū sun re hariyā māṇ hotī mamtā kī nadiyā
ḍāṅṭ ke hamko khud bhī roe khānā de baṛhiyā se baṛhiyā
māṇ ko jā ke kabhī sunānā na ye gānā re
chhoṭā bachchā jān ke …