Chhoo lene do naazuk honthon ko, kuchh aur naheen hain jaam hain ye

छू लेने दो नाज़ुक होंठों को, कुछ और नहीं हैं जाम हैं ये
Work
Year
Language

छू लेने दो नाज़ुक होठों को
कुछ और नहीं हैं जाम हैं ये
क़ुदरत ने जो हमको बख़्शा है
वो सबसे हंसीं ईनाम हैं ये

शरमा के न यूँ ही खो देना
रंगीन जवानी की घड़ियाँ
बेताब धड़कते सीनों का
अरमान भरा पैगाम है ये, छू …

अच्छों को बुरा साबित करना
दुनिया की पुरानी आदत है
इस मै को मुबारक चीज़ समझ
माना की बहुत बदनाम है ये, छू …

chhū lene do nāzuk hoṭhoṅ ko
kuchh aur nahīṅ haiṅ jām haiṅ ye
qudarat ne jo hamko bakhśhā hai
vo sabse haṅsīṅ īnām haiṅ ye

śharmā ke na yūṇ hī kho denā
raṅgīn javānī kī ghaṛiyāṇ
betāb dhaṛakte sīnoṅ kā
armān bharā paigām hai ye, chhū …

achchhoṅ ko burā sābit karnā
duniyā kī purānī ādat hai
is mai ko mubārak chīz samajh
mānā kī bahut badnām hai ye, chhū …