Chhoo lene do naajook hothon ko kuchh aur nahee hai jaam hai ye

छू लेने दो नाजूक होठों को कुछ और नही है जाम है ये
Work
Year
Language

छू लेने दो नाज़ूक होठों को
कुछ और नहीं है जाम है ये
कुदरत ने जो हमको बक्शा है
वो सब से हसीं इनाम है ये

शरमा के न यूँ ही खो देना
रंगीन जवानी की घड़ीयां
बेताब धड़कते सीनों का
अरमान भरा पैगाम है ये

अच्छों को बुरा साबित करना
दुनिया की पुरानी आदत है
इस मय को मुबारक चीज़ समझ
माना के बहोत बदनाम है ये

chhū lene do nāzūk hoṭhoṅ ko
kuchh aur nahīṅ hai jām hai ye
kudarat ne jo hamko bakśhā hai
vo sab se hasīṅ inām hai ye

śharmā ke na yūṇ hī kho denā
raṅgīn javānī kī ghaṛīyāṅ
betāb dhaṛakte sīnoṅ kā
armān bharā paigām hai ye

achchhoṅ ko burā sābit karnā
duniyā kī purānī ādat hai
is may ko mubārak chīz samajh
mānā ke bahot badnām hai ye