Chharee re chharee kaisee gale men paree

छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी
Work
Year
Language

र: छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2
पैरों की बेड़ी कभी लगे हथकड़ी
छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2

( सीधे-सीधे रास्तों को
थोड़ा सा मोड़ दे दो ) -2
बेजोड़ रूहों को
हल्का सा जोड़ दे दो
जोड़ दो न टूट जाये सांसों की लड़ी -2
छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2

ल: छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2
पैरों की बेड़ी कभी लगे हथकड़ी
छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2

धीरे-धीरे चलना सपने
नींदों में डर जाते हैं
हो
धीरे-धीरे चलना सपने
नींदों में डर जाते हैं
कहते हैं सपने कभी
जागे तो मर जाते हैं
नींद से न जागे कोई ख़ाबों की लड़ी -2
छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2

लगता है साँसों में
टूटा है काँच कोई
हो
लगता है साँसों में
टूटा है काँच कोई
चुभती है सीने में
भीनी सी आँच कोई
आँचल में बाँध ली है आग की लड़ी -2
छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी -2
पैरों की बेड़ी कभी लगे हथकड़ी
छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी
र: छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी
ल: छड़ी रे छड़ी कैसी गले में पड़ी

ra: chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2
pairoṅ kī beṛī kabhī lage hathkaṛī
chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2

( sīdhe-sīdhe rāstoṅ ko
thoṛā sā moṛ de do ) -2
bejoṛ rūhoṅ ko
halkā sā joṛ de do
joṛ do na ṭūṭ jāye sāṅsoṅ kī laṛī -2
chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2

la: chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2
pairoṅ kī beṛī kabhī lage hathkaṛī
chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2

dhīre-dhīre chalnā sapne
nīṅdoṅ meṅ ḍar jāte haiṅ
ho
dhīre-dhīre chalnā sapne
nīṅdoṅ meṅ ḍar jāte haiṅ
kahte haiṅ sapne kabhī
jāge to mar jāte haiṅ
nīṅd se na jāge koī khāboṅ kī laṛī -2
chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2

lagtā hai sāṇsoṅ meṅ
ṭūṭā hai kāṇch koī
ho
lagtā hai sāṇsoṅ meṅ
ṭūṭā hai kāṇch koī
chubhtī hai sīne meṅ
bhīnī sī āṇch koī
āṇchal meṅ bāṇdh lī hai āg kī laṛī -2
chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī -2
pairoṅ kī beṛī kabhī lage hathkaṛī
chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī
ra: chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī
la: chhaṛī re chhaṛī kaisī gale meṅ paṛī