Chhamak chham chhamke angooree badan

छमक छम छमके अंगूरी बदन्
Work
Year
Language

अंगूरी अंगूरी अंगूरी अंगूरी
अंगूरी ओ ओ ओ
छमक छम छमके अंगूरी बदन
दमक दम दमकए अंगूरी बदन
प्यासी हैं मेरी बाहें जिया है बेकरार
तड़पा न मुझे ऐसे आके न मेरे यार
छमक छम छमके …

कोई पड़ा है मेरे झुमके के पीछे
कोई पड़ा है मेरे ठुमके के पीछे
कैसे छुपाऊं कैसे दबाऊं शोला जवानी का
सही न जाए मुझसे बिरहा की जलन
छमक छम छमके …

शाम सवेरे तेरा रस्ता निहारूं
तन्हा अकेली सारी रैना गुज़ारूं
किसको सुनाऊं किसको बताऊं
हाल बुरा है दिल का
दर्द नहीं जाने बेदर्दी सजन
छमक छम छमके …

aṅgūrī aṅgūrī aṅgūrī aṅgūrī
aṅgūrī o o o
chhamak chham chhamke aṅgūrī badan
damak dam damkae aṅgūrī badan
pyāsī haiṅ merī bāheṅ jiyā hai bekrār
taṛpā na mujhe aise āke na mere yār
chhamak chham chhamke …

koī paṛā hai mere jhumke ke pīchhe
koī paṛā hai mere ṭhumke ke pīchhe
kaise chhupāūṅ kaise dabāūṅ śholā javānī kā
sahī na jāe mujhse birhā kī jalan
chhamak chham chhamke …

śhām savere terā rastā nihārūṅ
tanhā akelī sārī rainā guzārūṅ
kisko sunāūṅ kisko batāūṅ
hāl burā hai dil kā
dard nahīṅ jāne bedardī sajan
chhamak chham chhamke …