Chehre pe khushee chhaa jaatee hai

चेहरे पे ख़ुशी छा जाती है
Work
Year
Language

चेहरे पे ख़ुशी छा जाती है आँखों में सुरूर आ जाता है -2
जब तुम मुझे अपना कहते हो अपने पे ग़ुरूर आ जाता है
चेहरे पे ख़ुशी …

तुम हुस्न की ख़ुद एक दुनिया हो शायद ये तुम्हें मालूम नहीं -2
शायद ये तुम्हें मालूम नहीं
महफ़िल में तुम्हारे आने से हर चीज़ पे नूर आ जाता है
जब तुम मुझे अपना …

हम पास से तुमको क्‌या देखें तुम जब भी मुक़ाबिल आते हो -2
तुम जब भी मुक़ाबिल आते हो
बेताब निगाहों के आगे परदा सा ज़रूर आ जाता है
जब तुम मुझे अपना …

जब तुमसे मुहब्बत की हमने तब जा के कहीं ये राज़ खुला -2
तब जा के कहीं ये राज़ खुला
मरने का सलीका आते ही जीने का शऊर आ जाता है
जब तुम मुझे अपना …

chehre pe khuśhī chhā jātī hai āṇkhoṅ meṅ surūr ā jātā hai -2
jab tum mujhe apnā kahte ho apne pe ġhurūr ā jātā hai
chehre pe khuśhī …

tum husn kī khud ek duniyā ho śhāyad ye tumheṅ mālūm nahīṅ -2
śhāyad ye tumheṅ mālūm nahīṅ
mahafil meṅ tumhāre āne se har chīz pe nūr ā jātā hai
jab tum mujhe apnā …

ham pās se tumko k‌yā dekheṅ tum jab bhī muqābil āte ho -2
tum jab bhī muqābil āte ho
betāb nigāhoṅ ke āge pardā sā zarūr ā jātā hai
jab tum mujhe apnā …

jab tumse muhabbat kī hamne tab jā ke kahīṅ ye rāz khulā -2
tab jā ke kahīṅ ye rāz khulā
marne kā salīkā āte hī jīne kā śhaūr ā jātā hai
jab tum mujhe apnā …