Chehraa k‌yaa dekhte ho dil men utar ke dekho na

चेहरा क्‌या देखते हो दिल में उतर के देखो न
Work
Year
Language

कु: चेहरा क्‌या देखते हो ( दिल में उतर के देखो न ) -3
मौसम पल में बदल जाएगा पत्थर दिल भी पिघल जाएगा
मेरी मोहब्बत में है कितना असर देखो न
आ: चेहरा क्‌या देखते हो …

कु: थोड़े से करीब आओ ऐसे न इतराओ
मुझसे सनम दूर बैठे हो क्‌या -2
बेचैन कर दूँगा इतना तुम्हें आके लिपट जाओगी दिलरुबा
ऐसे क्‌या सोचती हो आके इधर देखो ना -3
आ: चेहरा क्‌या देखते हो …

मैं तो तुम्हारी हूँ तुमपे दिल हारी हूँ
फिर किसलिए हैं ये बेताबियाँ -2
आके गले से लगा लो मुझे अब दूरियाँ न रहें दर्मियाँ
किसने तुम्हें रोका है शाम-ओ-सहर देखो न
कु: चेहरा क्‌या देखते हो …

ku: chehrā k‌yā dekhte ho ( dil meṅ utar ke dekho na ) -3
mausam pal meṅ badal jāegā patthar dil bhī pighal jāegā
merī mohabbat meṅ hai kitnā asar dekho na
ā: chehrā k‌yā dekhte ho …

ku: thoṛe se karīb āo aise na itrāo
mujhse sanam dūr baiṭhe ho k‌yā -2
bechain kar dūṇgā itnā tumheṅ āke lipaṭ jāogī dilrubā
aise k‌yā sochtī ho āke idhar dekho nā -3
ā: chehrā k‌yā dekhte ho …

maiṅ to tumhārī hūṇ tumpe dil hārī hūṇ
phir kislie haiṅ ye betābiyāṇ -2
āke gale se lagā lo mujhe ab dūriyāṇ na raheṅ darmiyāṇ
kisne tumheṅ rokā hai śhām-o-sahar dekho na
ku: chehrā k‌yā dekhte ho …